Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Taboot uth raha hai (Imam Sajjad)

Mir Hasan Mir · 2019

Mera beemar imam..(6)haye sajjad, haye sajjad..(2)Phir Fatima ke ghar mein, farshe azaa bicha haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiKarbobala ka zakhmi, yasrab mein chal basa haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiPhir Fatima ke ghar mein....1. Haye zere kafan bhi uski aankho'n se khoo'n hai jaariyaad aa rahi hai ghurbat sajjad ko padar kiroze se Mustafa ki aylaan ho raha haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiPhir Fatima ke ghar mein..2. Haye, baqir se keh raha tha sadaat ka gharanapehlu mein nanajaa'n ke mayyat na leke jaanapehle bhi ek janaza ghar wapas aa chuka haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiphir Fatima ke ghar mein..3. Haye, ab to madine walo tumko sukoo rahegaroyega aur na iski aankho'n se khoo'n bahegababa ko rone wala khamosh hogaya haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiphir Fatima ke ghar mein..4. Mayyat ke aage aage ye koi keh raha thabazaar se na guzre sajjad ka janazabazaar ko ye qaidi rota hua gaya haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiphir Fatima ke ghar mein..5. Haye, maara hai is tarha se zalim ne zeher dekekat katke bahar aaye iske jigar ke tukdehaye pehlu pe fatima ke phir zakhm ek laga haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiphir Fatima ke ghar mein..6. Taboot se lipat kar kehti hai koi bacchizindaan se hai aayi bhaiyya behen tumhariaankhein to khol lo ab sar par mere rida haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiphir Fatima ke ghar mein..7. Akbar jo laash e fizza dafna ke uthhe maulaaayi sada e zainab baqir watan chala jaasajjad ka janaza tayyar hogaya haibeemar e karbala ka, taboot uth raha haiphir Fatima ke ghar mein..

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.