Hai Khaufnaak Raat Qayamat Ka Waqt HaiZahra Ke Laadlo Pe Ye Ghurbat Ka Waqt HaiMushkil Kusha Pe Aaj Museebat Ka Waqt HaiYe Fatima Ki Aakhri Rukhsat Ka Waqt HaiDeedaar Aakhri Hai Ye Binte Rasool KaTaiyyar Dafan Ko Hai Janaza Batool KaZahra Ki Qabr Khod Rahe Hain AbutarabTharra Rahe Hain Haath, Jigar Mein Nahi Hai TaabChehre Pe Apne Dhale Hue Sabr Ka HijaabKarte Hain Baar-Baar Ye Hasnain Se KhitaabMaa Ki Taraf Ka Pyaar Bhi Tum Humse Le JiyeBaba Tumhare Saath Hai, Tum Gham Na Ki JiyeTaiyyar Karke Qabr Ali Ne Kaha UthoAye Mere Laadlo, Utho Baba Ka Saath DoTurbat Ki Samt Maa Ke Janaze Ko Le ChaloDil Thaam Ke Namaze Janaza Ada KaroHo Waqte Dafan Itni Kam Aawaaz Bain KiDushman Talak Na Jaaye Sada Shoro Shain KiTurbat Ke Paas Mayyat-e-Zahra Rakhi GayiAur Kar Chuke Namaze Janaza Ada AliRukh Se Kafan Hata Ke Sada Murtaza Ne DiMadar Ka Aan Ke Karo Deedaar AakhriUs Dam Bade Pisar Ka Jigar Gham Se Phat GayaChhota Pisar To Daud Ke Maa Se Lipat GayaMayyat Se Phir Ali Ne Pisar Ko Juda KiyaBeton Ko Murtaza Ne Gale Se Laga LiyaKehne Lage Ki Sabr Tumhein Dega KibriyaLo Waqt Aa Gaya Hai Ab Amma Se Ho VidaMujhko Hai Naaz Mere Dulaaron Ke Sabr ParMitti Bhi Daalna Hai Abhi Tumko Qabr ParYe Sunke Fatima Ke Dulare Tadap GayeRote Hue Ye Kehne Lage Baba Jaan SeEk Pal Bhi Apni Maa Ke Bina Hum Nahi JiyeDil Ko Qaraar Aata Tha Ammaa Ko Dekh KeBaba Batao Khud Sambhalen Ge Kis TarahMitti Hum Unki Qabr Pe Daalenge Kis TarahBechain Dil Ko Dard Se Ek Pal Na Thi NijaatKaise Karein Supurde Lahad Apni KaaynaatTharra Rahe The Qalb Se Khaybar Shikan Ke HaathMayyat Sambhalne Mein Hasan De Rahe The SaathAane Lagi Lahad Se Sada Ye Rasool KiDe Do Pedar Ke Haath Mein Mayyat Batool KiTurbat Mein Fatima Ke Janaze Ko Jab RakhaMuh Ko Chhupa Ke Roey Bahut Der MurtazaRokar Kaha Ali Ne, Aye Sarkare AmbiyaUmmat Ne Fatima Pe Bada Zulm Kar DiyaSaupa Tha Mujhko Aap Ne Jo Haath Ya NabiToda Gaya Batool Ka Woh Haath Ya NabiThama Tha Jab Ye Haath To Saleem Thin UngliyanRukhsaar Par Nahi The Tamachon Ke Ye NishaanTooti Nahi Thi Fatima Zahra Ki PasliyanAati Hai Mujhko Sharm Aye Sultane Do JahaanBheja Tha Ek Pedar Ne Bana Kar Dulhan IseWapas Main Kar Raha Hoon, Pinha Kar Kafan IseTalqeen Murtaza Ne Padhi Dil Ko Thaam KeAur Phir Pisar Ka Lekar Sahara Khade HueTakhta Hasan Ne Jaise Rakha Maa Ki Qabr PeTurbat Pe Badh Ke Khud Ko Giraya Hussain NeKehne Lage Ki Sabr Mujhe Deke JaiyeMaa Ke Baghair Jeete Hain Kaise BataiyeZahra Ko Jab Ali Ne Lahad Mein Chhupa DiyaTurbat Se Fatima Ki Ye Aane Lagi SadaJao Ke Intezar Hai Zainab Ko Aap KaGhurbat Ka Aye Nadeem Woh Manzar Ajeeb ThaAansoo Pedar Ke Pochh Rahe The Hasan HussainGhar Tak Gaye Hain Rote Hue Fathe Hunain
Tadfeen Bibi Fatima Zehra sa
Shabih Abbas Arfi · Poet: Nadeem Sultanpuri · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.