Azadari MediaAzadari Media

Talwar Mat Uthana

Syed Meesam Ali Mehdi

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Jaanay Lagay Jo Chor Ke Duniya Ko MustafaBhai Se Apne Ro Ke Wasiyyat Mein Yeh KahaBole Nabi Ali Se, Badlega Yoon ZamaanaTalwaar Mat UthanaHoga Tumhara Kunba, Har Zulm Ka NishaanaTalwaar Mat UthanaKaise Bataaoon Tum Ko Kuch Din Mein Tere Ghar ParYasrab Ke Sab Sitamgar Aayenge Aag Le KarSholon Ki Zad Mein Hoga Jis Dam Tera GharaanaTalwaar Mat UthanaDarwaaze Ko Jala Kar Hamla Nahi RukegaZahra Pe Ik Shaqi Ki Tthoukar Se Dar GiregaAayega Tere Ghar Mein Lashkar Jo FaatehaanaTalwaar Mat UthanaKhud Apni Bekasi Par Roti Rahegi ZahraPaamaal Dar Ke Neechay Hoti Rahegi ZahraHoga Jo Zaalimon Ka Us Par Se Aana JaanaTalwaar Mat UthanaTum Ho Ghayoor Teri Ghairat Na Seh SakegiLekin Khuda Ke Deen Ki Hurmat Bachi RahegiJis Waqt Fatima Par Barsega TaaziyaanaTalwaar Mat UthanaMain Jaanta Hoon Kya Hai Aulaad Ka BicharnaPar Meri Fatima Ke Seenay Mein Dil Hai Maa KaZahra Ke Saath Tum Bhi Mohsin Ka Gham ManaanaTalwaar Mat UthanaEhsaas Hai Mujhe Dil Naazuk Hai Betiyon KaKab Dekh Paayengi Woh Gardan Pe Zakhm TeraHar Haal Mein Tum Un Se Daagh-e-Rasan ChupaanaTalwaar Mat UthanaMere Nabi Ka Meesam Yeh Aakhri Sukhan ThaAey Sher-e-Haq Yehi Hai Haalaat Ka TaqaazaApne Sukoot Se Tum Deen-e-Khuda BachaanaTalwaar Mat Uthana

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.