Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Tanha Hai Sakina

Anjuman E ZAINABIA · 2020

Tanha hai Sakina tanha hai SakinaBaad aapkey baba Mera dushwaar hai jeena1) Ammu bhi Gaye lautkey waapas nahi aayeBaad aapke zaalim Hai mujhey aakey sataayeMaarey Hai tamaachey kabhi goondey merey cheena2) shaano mey rasan daalkey phupiyo ko chalaayeAur usmey galaa baandhkey mujhko bhi phiraayeIs zulm se niklaa Hai mujhey qoo'n ka paseena3) aye baba mujhey paani dikaakar Hai sataateyGar maanga my paani to tamaachey Hai lagaateyMarjaaungi ab jalta Hai is tarha se seena4) ruqsaar tamaacho se merey neeley huwey haiChaadar bhi nahi sarr pey merey Baal khuley HaiBaazaaro mey yuu aapki phirtii Hai nageena5) Zainab ki sadaa par to chaley aagaye dadaPar aap nahi aaye bukaa par merey babaKya my na rahii aapke nazro mey haseena ?6) har simt Hai maqtal mey padey laashey hi laasheyIn laasho mey ab aapko pehchaanu to kaiseyAfsos Sakina Teri pehchaan sakii na7) ek baar ilayya ki sadaa deejiye babaEk baar to seeney pey sulaa leejiye babaIs dasht mey khojaayegi warna ye hazeena8) aye *Qasim o Gaazi* kabhi tum shaam ko jaanaEk raat agar howey to zindaan mey rehnaMehsoos tumhey hoyega maasoom ka jeena

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.