Tarap Ke KehtayHaaaayArsa e hashr me jis waqt ke aaengi BatoolKeh ke farzando ka gham sabko rolaengui BatoolLab pe mazkoor shahadat ka hilaaeingi BatoolArsh ke paae ko ro ro ke hilaaeingi BatoolOus ghari sharm se moou pher na lena zaalimKhoon baha Fatema Zehra ko tou dena zalimTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo x3Woh mera Baba jisse Fatema ne paala thaNabi ka Noor e nazar din ka oujala thaNa ouski laash ko koyi outhaane waala thaMain outh na sakta tha aur samne parhi thi laashSina ki nok pe sar tha tarap rahi thi laashTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2Tchatchaa ke sadme ne baba ki torh di thi kamarJawaan ki laash par ponhtche the gutniyon tchal karOuthaa ke laae the kandhe pe laashae AkbarKahaa ye Bano se jaan se guzar gaye AkbarNikali ham ne jo bartchi to mar gaye AkbarTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2Har ek ankh lahoo se bhigo gaye QassimTchale jo ghore to tampo me kho gaye QassimKe zindagi me hi paamaal ho gaye QassimRagarte geriyan Qassim ka kyta sila degaHar ek laash ke toukre ke badle kya degaTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2Kahaa jalaal me Zainab ne ouski ye jourratKaho ye ousse ke kya dega woh hame daulatTum ousse putchho ke Abbas ki hai kya QimatYe jo lahoo bhare gessou hai inka kya degaYeh jo kate huwe baazu hai inka kya degaTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2Koyi bataae ousse kya hai Ambiya ka HusseinPissar Rasool ka aur kya hai Murtouza ka HusseinTeen roz ka pyassa hai Fatemah ka HusseinNahi pataa dil e Fatemah ke tchain ki qimatKhuda se puchh le kya hai Hussein ki qimatTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2Juda badan se tha sar aur kaleja paashPari thi ghoron se paamaal tez dhup me laashYahaan talaash rida ki wahan kafan ki talaashTchupaa lun badle ke armaan ko main Phuphi AmmaBhulaa doon Shaame Ghariban ko main Phuphi AmmaTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2Ajab hai haal Sakina ka maa ko sakta haiRassan gale me hai sine me dam ataktaa haiLarazte ashk hai kaanon ke khoon tapakta haiGohar jo kaanon se tchine the inka kya degaTamaatche isne jo khaae hai inka kya degaTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2Phiraayi jaati thi galiyon me Itrate AthaarRida saron pe na thi aur majmae agyaarBhula doon kaise main beta woh Shaam ka bazaarBaataae karbe yateema ki kya jazaa degaSina ki nok se khentsi rida ka kya degaTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2Qamar Robab ko maaloom hai Saghir ki pyaasHai tchai mahine ke batchhe ke zakhm ka ehsaasTchupaae rakhti hai jhule ki lakriyan ye paasKaho Yazid se Beshir ki khataa kya haiKe tchai mahine ke batchhe ka khoon bahaa kya haiTarap ke kehte hai Sajjad ai Phuphi Amma [Yazeed kehta Baba ka khoon baha lelo] x2
Tarap ke kehte hai Sajjad
Shadman Raza · 2010
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.