Azadari MediaAzadari Media

Tera Sehra Na Dekha

Abutalib Sultanpuri · Poet: Waiz Sultanpuri · 1444

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Jawaan Ki Laash Pe Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...Meri Aankhon Ke Taare, Ae Mere Pyare Ali Akbar...Tera Sehra Na Dekha...1Dil-e-Maadar Mein 18 Baras Se Ye Tamanna Thi...Main Apne Haathon Se Ek Din Tujhe Dulha Banaungi...Teri Dulhan Ko Main Apne Kaleje Se Lagaungi...Jo Mannat Maangi Hai Maine,Woh Mannat Main Badhaungi...Magar Kya Thi Khabar, Roungi Main Tere Janaze Par...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...2Bade Armaan The Dil Mein,Bahot Kuch Maine Socha Tha...Balaayein Leke Aankhon Se Lagaungi Tera Sehra...Teri Baraat Jab Ghar Se Chalegi Ae Mere Beta...To Main Abbas Se Keh Dungi, Parcham Ka Kare Saaya...Magar Na Jaane Kisne Bad Nazar Daali Tere Upar...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...3Mujhe Pardes Mein Taqdeer Ne Ye Din Bhi Dikhaya...Main Zinda Reh Gayi Aur Mar Gaya Kadiyal Jawaan Beta...Meri Aankhon Se, Ae Akbar, Dikhai Kuch Nahi Deta...Main Dekhun Bhi To Kaise Dekhun Tera Chaand Sa Chehra...Are Toota Gham Ka Aasmaan Dukhiyari Maadar Par...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...4Kaleja Phat Gaya Maadar Ka Us Dum, Ae Mere Jaani...Suna Jis Dum Ki Tumko Marte Dum Bhi Na Mila Paani...Bade Be-Reham Hain Karbobala Mein Zulm Ke Baani...Kisi Ne Haaye Tasveer-e-Muhammad (S.A.W.) Bhi Na Pehchani...Chalaya Zaalimon Ne Haaye Mere Qalb Pe Khanjar...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...5Jawaan Farzand Se Maa-Baap Ko Khaliq Na Chhudwaye...Ye Manzil Woh Hai Ki Dushman Ki Aankhon Se Bhi Ashq Aaye...Kisi Ka Naujawaan Beta Suna Seene Par Na Khaaye...Zaeefi Mein Jawaan Bete Ki Mayyat Baap Na Laaye...Humein Qismat Ne Dikhaya Qayamat Khez Ye Manzar...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...6Padar Ki Bekasi, Ae Laal, Dekho To Zara Uth Kar...Jhukaaye Sar Bilak Kar Ro Rahe Hain Sibt-e-Payambar...Sahara Do Unhein Aakar, Nahi Ab Mounis-o-Yawar...Chacha Abbas Bhi Hote To Baazu Thaamte Aakar...Tere Baba Bahot Rote Hain, Ae Beta, Yahi Keh Kar...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...7Ae Mere Chaand, Mere Dil Ke Tukde, Mannaton Waale...Ae Humshakl-e-Payambar, Zainab-e-Dilgeer Ke Paale...Sada Main Kab Se Deti Hun Tujhe, Ae Gesuon Waale...Zara Ek Baar Uth Ja, Maa Tujhe Seene Se Lipat Ke...Rahega Daag Ab Ye Hashr Tak Mere Kaleje Par...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...8Shab-e-Aashoor Mera Dil Dhadakta Hi Raha Akbar...Jalaaye Shamma Baithi Thi Ye Teri Ghamzada Maadar...Tere Gesu Main Suljhati Rahi, Roti Rahi Shab Bhar...Meri Nazrein Ruki Thi Raat Bhar Bas Tere Chehre Par...Ye Dhadka Ho Gaya Tha, Kal Juda Ho Jaoge Dilbar...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...9Tumhare Bin Ali Akbar, Kahin Na Chain Paungi...Tadapti Hi Rahungi, Umr Bhar Aansu Bahaungi...Tumhe, Ae Yusuf-e-Saani, Bhala Kaise Bulaungi...Samajh Mein Kuch Nahi Aata, Ye Gham Kaise Uthaungi...Bhala Kaise Rakhungi Apne Dil Pe Gham Ka Ye Patthar...Tera Sehra Na Dekha...Jawaan Ki Laash Ye Bain Karti Reh Gayi Maadar...Tera Sehra Na Dekha...

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.