Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Tha Bali Sakeena Ka Noha

Murtuza Jazib · 2020

Khwab me bali sakeena k jo aaye sarwar-haye mazloom husaina ki sada thi lab par-Aaya jab tasht me beti k liye bap ka sar-Tha ajab dard bhara qaid e sitam ka manzar-Sar pa sar rakh ke fugha'n karti thi-Apne baba se ye ro ro k baya'n karti thi...Paas apne bula lije babaTha bali Sakeena ka noha - paas apne bula lije baba.1)Kal aap ke seene per sooyi-Ab khakh pe baba soti hun-Ye shimr e layeen kyun marta hai-main aap pe jab bhi roti hon(2)Jeene main nahin ab dil lagta-Paas apne bulalije baba.2) Aada ne guzara hai humko-Be parda bhi bazaaron se-Dil zakhmi huwa mera baba-In sadqon ki bocharon se(2)Kehte hain hamin baaghi aada-Paas apne bulalije baba.3) Darbaar e sitam me bey chadar-Ye zulm huwa baba mujhpar-Jab Maanga kaneezi me mujhko-Abid pe chala gham ka khanjar(2)Main deti rahi ammu ko sada-Paas apne bulalije baba.4) Nazdeek hi darya behta tha-Ek bond na lekin mujhko mili-Zalim ne jo pani phenk diya-Main pyasi kharhi takti he rahi(2)Ehsas e yatemi mujhko huwa-Paas apne bulalije baba.5) Seena jo tumhara yaad aaya-Kehti thi phuphi ammañ mujhse-Aa soja tu mere seene par-Baba na tere ab aayenge(2)Dil gham se huwa para para-Paas apne bulalije baba.6) Jab jab bhi main royi hun baba-Sajjad ne durre khaye hain-Khamoosh huwi jab bhi baba-Zalim rulwane aaye hain(2)Yun mujhko satate hain aada-Paas apne bulalije baba.7) Lagta hai ke main marjaongi-Ghar laut ke jana paaongi-Zindañ ke andhere me baba-Ek din main yahin sojaaongi(2)Qismat hai andhera ghar mera-Paas apne bulalije baba.8) Aaghosh me lekar baap ka sar-Bibi ne kiya duniya se safar-Shahkar tha barpa ek mehshar-Zindan me aye Jazib Qaisar(2)Ab kaun padhega ye nauha-Paas apne bulalije Baba.Tha Bali Sakeena Ka Noha Paas Apne Bulalije Baba.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.