Jee Maula asZuhoor ka waqt agaya hai imam say lu lagaye rakhnaYeh pochta hun main khud say aksarZuhoor hoga to kia karogayBa izn e mehdi jo niyaton say uthay ga parda to kia karogayJab ayega wo ali ka beta Karega nusrat ka wo taqazaFaqat zubani hy ger aqeeda Kahan chupaogay apna chehraJu us ghari phir qadam na uthengy jo sohay kaba to kia karogayYeh pochta hun main khud say aksarZuhoor hoga to kia karogayAli wali ki wila hai aujab Kabhi na samjhota is pey karnaAli kay mansab pey shak na karna Ali pey jeena Ali pey marna,Sawal ger barhweyn Ali ney Ali ka pocha, To kia karogayYeh pochta hun main khud say aksarZuhoor hoga to kia karogayKaro tasawar qareeb apne kia agr na talab unho neyTumhe muhabbat bohot hai unsay Magar amal kay sabab unho neyTumhari janib nigha e ulfat say ger na dekha, To kia karogayNabi ki ummat ka aik hona bohot zarori hai yaad rakhnaMagar hain ju bhi udo e zahra tum un pa bhi beyshumar karnaNamak halali ka hai takaza Sawal hoga, To kia karogayTum apni aasaisho ki khatir Tamam zariye bana rahe hoWo aa rahy hain khayal rakhna jo tum yeh dolat luta rahe hoTumhare uper kahin kisi ka bhi haq ju nikla, To kia karogayWo waris e fatima ju aa key khud apni dadi ky haq may bolayAmeen ger tum nahi ho socho tum apne Maula say kiya kahogeAgr wo poche ky khums ka tum ny hy kia kiya, To kia karogayAdab say farsh e aza pey jao gham e shah e karbala manaoKahan ki dulat kahan ki shohrat farab e duniya say baaz aaoTumhara yeh bhi amal rahega agr na sacha, To kia karogayAbhi to itra rahy ho lekin qareeb hy ab hisab ka dinSawal tum ney Bohot kiye hain hai samne ab jawab ka dinTumhare pallay koi bhi khaalis amal na nikla, To kia karogayYahi Surani payam e haq hay sitam ky agay kabhi na jhuknaSada e haq ko baland karna kabhi bhi Darvaish tum na darnaBarooz e mehshar tumhare haq may na boli Zahra, To kia karogay
To kya karoge
Shahid Baltistani · 2025
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.