Azadari MediaAzadari Media

Tum Jaa Rahi Ho Amma - Riyaz Abidi

Syed Riyaz abidi · Poet: Mir Johar Shikarpuri · 1447

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Dunya ke zulm sehkar sare sitam uthakar.Zehra ne jab shahdat pai tha asa manzar.Qohram ak bapa rote the mola haidar.Dete the the ye sadae zehra ke laal rokarBachho ka tha ye noha tum ja rhi ho Amma.Kese rahenge zinda tum ja rahi ho Amma..Kuch to dilasa hum ko ae Amma Jan dedo.Kese bhala jiyenge ak baar ye bhi socho.Hai hum ko iska sdma tum ja rahi ho Amma..Rakha khayal tum ne han jis tarha humara.Is tarha kon dega Amma hume sahara Kyu kr ke hum ko tanha tum ja rahi ho amma.Bin ap ke ae Amma bekar zindagi haiJab ap hi na hongi bekar har khushi haiKarte the keh ke girya tum ja rahi ho Amma..Phir ak baar rokar zenab yehi pukaariAse na jao Amma amma me tum pe wari.Hota hai mujh ko sdma tum ja rahi ho amma.Kulsoom ne ye rokar Amma ko phir sada di.Mar jayegi ae Amma ye laadli tumhariKyu chhor kar khudara tum ja rahi ho amma..Bole hasan ye maa se na dardo gham brhaoIs tarha se Amma tum chhor kar na jaao.Hum ho rahe hain tanha tum ja rahi ho amma.Aakhir me pas maa ke ase hussain aaye.Zehra kafan se apne hatho ko thi barhye.Or sheh ne pukara tum ja rahi ho amma..Tehreer kis tarah se manzar krega JOHAR Lekar jnaza ghar se jis dam chale the haidar.Gunjan ayaz noha tum ja rahi ho amma

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.