Ujjar gaya hai[Shaame gharibaan] ×2 jalte khaima, [yaas ka aalam] ×2Koi yahaan karta tha nawha [aur koi matam] ×2Naade ali parhne lagi zainab [dasht mein jis dam] ×2Haay, Fizza ne kiya marsiya ya haidare karrar[Ujar gaya hai zainab ka ghar baar] ×3Subhe daham se asr ke hangame balaa takBaiyat se chali baat to aapohnchi rida tak[Zainab ko yaqeen hogaya] ×2Ya Haidare Karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3Roti rahi woh alqama aur pyaase rahe humSaadat ne paya yahaan har lamha naya gham[Har zakhm par aisa laga] ×2Ya Haidare Karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3Kya waqt tha pardes mein aulaade nabi parKhaime se jo marne chale ham shakle payambar[Shabbir ne ro kar kaha] ×2Ya Haidare Karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3Is se bari ab aur kya aayegi qayaamatKhud baap le kar aagaya jab bete ki mayyit[Ro kar pukaari Karbala] ×2Ya Haidare Karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3Ujre nahin pardes mein yun kunba kisi kaMatam huwa jab dasht mein abbase jari ka[Roya alam royi wafa] ×2Ya Haidare Karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3Auno Muhammad hogaye maqtoole jafa jabBeton ke laashe dekh ke ye kehti thi Zainab[Lo dekhlo aakar zara] ×2Ya Haidare Karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3Aqa tumhaare laal pe jab chalta tha khanjarRoyi zameene karbala ye marsiya parh kar[Ya Mustafa ya Fatima] ×2Ya Haidare Karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3Ab na yahaan Shabbir hai na baaqi he lashkarBas karbala ki khaak he aur aale payambar[Ehle haram ki he buka] ×2Ya Haidare Karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3Ab "Mazhar-o-Irfan" ke aayi he labon parJo baat fizza ne kahi is jalti zameen par[Hojaaye ye dunya fanaa] ×2Ya haidare karrar[Ujar gaya he zainab ka ghar baar] ×3
Ujjar gaya hai
Irfan Haider · 2007
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.