Azadari MediaAzadari Media

Ummat Ne Sitam Kaisa

Zulfiqar Ali · Poet: Mir Shah Rizwan

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
ummat ne sitam kaisa ye sadat pa dhayasajde men hi sajde ka mohafiz gaya mara1kiun aise pedar ko mere ghar laye ho bhaiya baba ka mere jism hai kiun khoon men doba rote huye abbas ko zainab ne pukara2zainab teri ai hai zara akhen to kholoek baar khodara zara beti se to bolofir baap ko ro ro ke kaleje se lagaya3es tarha ada ajre resalat ko kiya haibaba ko mere sajde men yun mara gaya haifir ham ko Musalmano ne kufe men hai luta4baba na kahin dekh len bas es se hon darti baba ki nigahon se main chip chip ke hon roti nana teri ummat ne hai kiya haal banaya5jate huye ek baar zara beti se boloab kis ke sahare se jiyon gi ye bata do beti se na estarha se muh fero khodara6khamosh na ho warna ye mar jaye gi beti ab aap ki furqat ko na se paye gi beti zainb se zara baten karo ai mere baba 7har koi ye kahta raha maiyat se lipat karmaula nahin ji payen ge ham tumse bicharkarsar peet ke sab rote the kohram tha barpa8bechain bahot dard se hain kuch nahin kahte bachchon se nigahon ko chipa kar ke hain rote yun zahre hala hal se hua zard hai chehra 9main kaise likhon zulfiqar us wakht ka nazarrizwan giri binte ali kah ke zimin par bhaiya zara ahista janaze ko uthana

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.