Ya ali, ya ali, ya ali, ya aliUska rutba sare mehshar bhi nirala hoga..(2)paas jiske bhi wilayat ka, hawala hogauska rutba...1. Intesaab uska likha jayega haider haider..(2)jab bhi tehreer risalat ka risala hogauska rutba...2. Rizq takseem ali karte hai shak hai jisko..(2)hashr ke din wo jahannam ka niwala hogauska rutba...3. Chaal taaro ke badalne pe wo qadir hoga..(2)pattharo pe jo alam gaad ne wala hogauska rutba...4. Dhundhna malik e ashtar ko ali ke hi qareeb..(2)hai jaha'n chaand waha chaand ka haala hogauska rutba...5. Mai bila fasl ka qael hu'n so aabe kausar..(2)unke chullu se piyunga wo bhi pyaala hogauska rutba...6. Aaj jis jis ko bura lagta hai ye kaala alam..(2)uska mu'h hashr ke maidan mein kaala hogauska rutba...7. Paalne wala khuda hi ka wo hoga akbar..(2)abu talib ne jise god mein pala hogaUska rutba sare mehshar bhi nirala hoga..(2)Ya ali, ya ali, ya ali, ya ali
Uska rutba sare mehshar bhi nirala hoga
Mukhtar Hussain · 2013
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.