Arsh par farsh ki ataa hai beqata jisko tu maarta haiKuch qabar hai tujhe ibne muljim ye zamane ka mushkil kusha haiIsne sajdo’n pe sajde kiye hain isne rozo’n pe roze rakhe hainIska khan hai ek jaao’n ki roti iske sone ko ek boriya haiUth raha hai ali ka janazaRo rahe hain yateeman-e-hyderUth raha hai ali ka janazaMomeeno khaak udao saro parUth raha hai ali ka janaza1. Shehr-e-koofa me hai shore giryaChingaya bekason ka saharaKhaak udaate hain shabbier-o-shabbarUth raha hai ali ka janaza2. Koun dega yateemo’n ko pursaKoun zainab ko de ab dilaasaHar taraf hai qayamath ka manzarUth raha hai ali ka janaza3. Roze daaron wo kaisi sehar thiPhir na sajde se utha namaziSuna suna hai mehraab-o-mimbarUth raha hai ali ka janaza4. Aao shabbier-o-shabbar ab aaoSaath kulsum zainab ko laaoKarlo baba ka deedarUth raha hai ali ka janaza5. Hai farishto’n me kohraam barpaThar tharata hai arshe mo’allaYa ali ki sadaaye hain ghar gharUth raha hai ali ka janaza6. Qabre zehra se aawaz aayiBaap bacho’n me ab hai judaayiSabr se kaam lo mere dilbarUth raha hai ali ka janaza7. Sunke dil soze zainab ke naaleDil Mujeeb apna kaise sambhaaleBepidar hogayi binte haiderUth raha hai ali ka janazaRo rahe hain yateeman-e-hyderUth raha hai ali ka janaza
Uth raha hai ali ka janaza
Mir Rehan Abbas · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.