Ye bata karbobala..(4)Kis tarha aale mohammad pe hue zulm o jafaYe bata karbobala..(2)Paani hote hue kyu ibne ali pyaasa rahaYe bata karbobala..(2)Kis tarha aale mohammad pe hue zulm o jafaYe bata karbobala..(2)1. Shabe ashoor ko dulha jo bana tha qasimhaaye dulha qasim..(2)kis tarha dasht mein wo ghodo se pamaal huaYe bata karbobala..(2)2. Jab alamdaar ke bazu hue maqtal mein judazeen par ruk na saka..(2)zeen se khaak pe kis tarha alamdaar giraYe bata karbobala..(2)3. Ali akbar jise kehti thi ali ki betiwo tha ham shakl e nabi..(2)uske laashe pe hussain ibne ali kaise gayaYe bata karbobala..(2)4. Leke beemar ka paigham jo yasrab se chalaashk barsata hua..(2)haye kis waqt pe wo qaside sughra pohchaYe bata karbobala..(2)5. Apne baba ko jo baba bhi nahi bol sakaghutniyo bhi na chala..(2)teer kaise usi masoom ki gardan pe lagaYe bata karbobala..(2)6. Teer se chalni badan zakhmo se khoo'n jaari thalab pe tha shukre khuda..(2)sajda e aakhri shabbir ne kis tarha kiyaYe bata karbobala..(2)7. Baap ke seene pe bachi jo sada soti thisham e ghurbat me wohi..(2)kis tarha teero bhare seene pe soyi tanhaYe bata karbobala..(2)8. Qafla gyara moharram ko rawane jo huaberida tha kunba..(2)sar jhukaye huw kis tarha se beemar chalaYe bata karbobala..(2)9. Phir se deedar ko aankhein ye tarasti hai meridil mein hasrat hai yehi..(2)hoga rehan ko kab izn ziyarat ka ataaYe bata karbobala..(2)
Virde darwaish- Yeh bata karbobala
Shahid Baltistani · 2009
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.