Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Wada sajjad nibhayega

Irfan Haider · 2017

Haye sajjad.. haye sajjad..(2)tha ye manzar ajab,alam e zarr me jabahd o paymaan karbobala ke hue..(2)saare waado ki haami bhari shaah nemanzil e sabr mein uff na ki shaah ne..(2)baat zainab ke parde ki aayi thi jab..(2)hogaye roke khamosh shahe arabbole sajjad.....haan kaho baba ye kaam to mujhko karna haiye aapka beta karbal seek qaafla lekar jayegawaada sajjad nibhayega..(2)sajjad nibhayega..waada sajjad nibhayega..(2)1. Ghar aap lutayenge bababazaar mein jaana hai mujhko..(2)maqtal ko aap basaengezindaan basana hai mujhko..(2)zindaan mein apni behna koye nauhakhwaa'n dafnayegawaada sajjad nibhayega..(2)2. Jab gyarah moharram aayegisadaat banenge jab qaidi..(2)mehmil ke bajaye ooto'n paraulad e payambar baithegi..(2)us roz se aapka shehzadasalaar e haram kehlayegawaada sajjad nibhayega..(2)3. Hum basti basti jayengebarsegi aag kahi'n patthar..(2)dekhengi nigaahe aada kijab meri phuphi ko bechadar..(2)dauran e safar bas ye hi sitambeemar ke sarr ko jhukayegawaada sajjad nibhayega..(2)4. Akho'n se lahu barsayegadurre bhi badan par khaega..(2)us tashnalabi ki shiddat meinzanjeer ka bojh uthayega..(2)ye zakhm bhi dil par khayegabaaghi ka pisar kehlayegawaada sajjad nibhayega..(2)5. Napaak zabano par hogajab naam ali ki beti ka..(2)zanjeer bhi mujhpar royegiaur tauq bhi mujhpar royega..(2)aye baba ye ghum ka manzarsajjad ko khoon rulayegawaada sajjad nibhayega..(2)6. Royegi mashiyat bhi mujhparjab dekhegi ye haal mera..(2)sadqe ki khajoorein barsegiyu hoga isteqbaal mera..(2)ghairat ka khuda is ummat seye ajr e risalat payegawaada sajjad nibhayega..(2)7. Kulsoom ke aage jab khooliabbas ke sar ko layega..(2)us waqt sina se reti parabbas ka sar gir jayega..(2)ghush kha kar sambhlega qaidisambhlega phir ghush khayegawaada sajjad nibhayega..(2)8. Irfan e aza dil zainab kawo dard o alam ka mazhar tha..(2)zanjeer mein jakde qaidi kahar waqt yehi ek nauha tha..(2)waada sajjad nibhayegawaada sajjad nibhayegawaada sajjad nibhayega..(2)sajjad nibhayegawaada sajjad nibhayega..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.