Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Wafadar ka matam

Unknown · 2012

Abbas Ka Matam Hai Alamdar Ka Matam...Farzande Ali Haidare Karrar ka matam...Abbas(a.s) Hai shabbir (a.s) khaimo ke nigehba,saalar hai lashkar ke to bachho ke nigehba,parde ke muhafiz hai ye behno ke nigehba,(Daryaa ka kinara hai)2xWafadar ka matamlashkar ke alamdar pe lashkar ki nazar haiabbas ke jazbat pe sarwar ki nazar haiis sher ke ehsas pe ghar bhar ki nazar hai(Daryaa ka kinara hai)2xWafadar ka matamAbbas ko ladne ki ijazat na milegiis sher ko jeene mein bhi rahat na milegimar jaae to phir daade shuja'at na milegi(Daryaa ka kinara hai)2xWafadar ka matampani se bhari mashk ko kandhe pe sambhala,rehwar ko dariya ki rawani se nikala,dushman ki safe cheer ke nikla hai jiyala(Daryaa ka kinara hai)2xWafadar ka matamAbbas ne shabbir ko ek baar pukarakhaime mein meri laash na pohche mere aaqasharminda sakina se hua jaata hu maula(Daryaa ka kinara hai)2xWafadar ka matamAsgar Kabhi pyasi nazar aati hai sakinaammu ko nazar bhar ke bulati hai sakinaabbas se pyas apni chhupati hai sakina(Daryaa ka kinara hai)2xWafadar ka matamdariya hai jaha zero zabar sher ka matamhaider ki tamanna ka sharar sher ka matamabbas ka matam hai magar sher ka matam(Daryaa ka kinara hai)2xWafadar ka matam

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.