Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Wah hamshakle nabi

Shadman Raza · 2006

Wah hamshakle nabi.....x4Akbar jamaal kudrat e parwardigar haiAkbar khudai husn ka aaina daar hai.Laila ka maan ibne Ali ka waqaar hai.khaaliq ko jispe naaz ye wo shahkar hai.Jiska nahi jawab ye wo lajawab hai.Ye hubahu shabih e risalat ma'aab hai.Wah hamshakle nabi.....x4Ho iske rubaru bhala kya daaghdaar chaandMuh abr me chhupake chale barbar chaandWaise muhavre me to hote hai chaar chaandAkbar ne karbala ko lagaye hazaar chaandPaya hai chehra misle payambar isiliyeRakha gaya hai naam bhi akbar isiliyeWah hamshakle nabi.....x4Naa subho hai naa raat barabar ka waqt haiIbne Ali ke mehre munawwar ka waqt haiTafseer surah e rukhe anwar ka waqt haiYe zikr hazrat e ali akbar ka waqt haiTauqeer badrahi hai dar e buturaab kiAamad hai phir jahaa'n me risalat ma'aab kiWah hamshakle nabi.....x4Shabbir ko wirasat e khairul wara miliAbbas ko shuja'at e shere khuda miliQasim ko azmate hasan e mujtaba miliIs ghar me shaan sabko khuda se juda miliZainab ne paya rutba e aala batul kaAkbar ko milgaya hai sarapa rasool kaWah hamshakle nabi.....x4Gesu bhi noor chehra e tahir bhi noor haiPaikar bhi noor sina e aamir bhi noor haiBaatin bhi iska noor hai zaahir bhi noor haiHadh ye ke is qaseede ka shayar bhi noor haiBeta mila hai aisa nirala husain koHairat se dekhta hai ujala husain koWah hamshakle nabi.....x4Ab tazkera hai akbar e khushruh ki jang kaKhaaro'n se dashte zaar me khushbu ki jang kaBaazu e kirdigar ke baazu ki jang kaSar chad ke bolte hue jaadu ki jang kaNazre uthake dekha to har saf ulatgaiKhud maut iske pairo se aake lipatgaiWah hamshakle nabi.....x4Akbar ne tegh khaichi udhe beparo ke sarKi jab nigaha katgaye deedawaro ke sarZadpar ajal ki aaye jo fitnagaro ke sarShaano se khud hi girne lage khudsaro ke saroTha shor bhaago jang se haatho ko jhaadkeLo aagaye Ali dar e khaibar ukhaadkeWah hamshakle nabi.....x4Manzar ye kaarzaar ka kaise karu bayaa'nAkbar ki tegh aaj ajal ki hai tarjumaTalwar ki chamak me tadapti hai bijliya'nKhaime ke dar pe shah e zamana hai "SHADMAA'N"Ulti sipah "NOOR" Ali uske baar neUth uth ke daad di hai usey zulfiqar ne.Wah hamshakle nabi.....x4

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.