Azadari MediaAzadari Media

Watan Ki Yaad

Arshi Naqvi · Poet: Abbas Naqvi Bulandshehri · 1446

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Watan Ki Yaad Sakeena Ko Jab Bhi Aati ThiWoh Aake Bas Dar-e-Zindaan Pe Baith Jaati ThiTasawwuraat Mein Rehta Tha Uske Ek JhoolaKe Yaad Asghar-e-Besheer Khoon Rulaati ThiSakeena Khaak Pe Soti Thi Jab Bhi Zindaan MeinJudai Seena-e-Shabbir Ki Sataati ThiGhamon Ki Shaam-e-Ghareebaan Se Haaye Zindaan TakSisakti Roti Thi, Ammu Ko Woh Bulaati ThiChhuda Lo Baba Mujhe Qaid Ke Andheron SeSada Ye Shaam Ke Zindaan Se Roz Aati ThiNa Jaane Khwaab Mein Baba Se Kya Hui BaateinLo Baba Aate Hain, Woh Ghash Mein Bole Jaati ThiWoh Aaj So Gayi Zindaan Ki Khushk Mitti MeinHamesha Baap Ke Seene Pe Neend Aati ThiWoh Aake Bas Dar-e-Zindaan Pe Baith Jaati ThiTasawwuraat Mein Rehta Tha Uske Ek JhoolaKe Yaad Asghar-e-Besheer Khoon Rulaati ThiSakeena Khaak Pe Soti Thi Jab Bhi Zindaan MeinJudai Seena-e-Shabbir Ki Sataati ThiGhamon Ki Shaam-e-Ghareebaan Se Haaye Zindaan TakSisakti Roti Thi, Ammu Ko Woh Bulaati ThiChhuda Lo Baba Mujhe Qaid Ke Andheron SeSada Ye Shaam Ke Zindaan Se Roz Aati ThiNa Jaane Khwaab Mein Baba Se Kya Hui BaateinLo Baba Aate Hain, Woh Ghash Mein Bole Jaati ThiWoh Aaj So Gayi Zindaan Ki Khushk Mitti MeinHamesha Baap Ke Seene Pe Neend Aati ThiLikhe Hain Bain Woh Abbas Bhi, Ae ArshiSakeena Udte Parindon Ko Jo Sunaati Thi

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.