Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Wo khoon roke kehta raha zamane se

Asgar Khan · 2009

Wo khoon ro kay kehta raha zamanay sayRidaeyn cheeno naa (x2) logo mere gharanay say1. Sawal-e-aab pay ronay pay us kay sonay pay (x2)wo maartay thay (x2) sakina ko her bahaanay say2. Bulati kis tarha abbas ko madad kai liye (x2)wo berida thee (x2) jhijhakti rahi bulanay say3. Sulaya Jaata tha behosh kar ke durron say (x2)jagaya jata tha (x2) abid ko taaziyanay say4. Rida-e-saani-e-zehra mei dhal gaya akbar (x2)ghubaar utha jo laashon kay thar tharaanay say5. Kuch isterha sar-e-kerbobala wo ujday thay (x2)kay darr rahay hain (x2) abhi tak wo ghar basaanay say6. Kaha ye ganj-e-shaheedan mei baap kay sar nay (x2)mujhai sakina (x2) bulati hai qaid khaanay say

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.