Wo shahenshah-e-zaman, jisko kafan bhi na mila1. Wo Mohammad ka nawasa, woh hussain ibn-e-aligulshan-e-fatema zahra ki wo masoom kalinaam hai panjatan-e-paak mein ba harf-e-jalihurmate deen-e-khuda jis ki shahadat mein dhalihote rehte the jise hulla-e-firdos ataawo shahenshah-e-zaman...2. Jhoola jibreel ne bachpan mein jhulaya wo hussaindosh par jisko payambar ne bithaya wo hussainjis pe quran ke paaro'n ka tha saya wo hussainpani dil khol ke dushman ko pilaya wo hussainhaye us bekas-o-nadaar ko pani na diyawo shahenshah-e-zaman...3. Dasht mein gher liya jisko bulakar mehmaansaamne jis ke tadapta raha akbar sa jawankhench li jis ne jawa'n bete ke seene se sinajis ke haathon pe huwa qatl pisar guncha daha'naakhri naasir-e-mazloom bhi jis ka na rahawo shahenshah-e-zaman...4. Khoob rote hai jo apna koi marjaata hailaasha be waali-o-waris ka kafan paata haiaur taras khaake use koi bhi dafnaata haitaaziyat kay liye dushman bhi chala aata haihaaye afsos jigar gosha-e-mehboob-e-khudawo shahenshah-e-zaman...5. Haaye pamaal huwi laash-e-hussain ibn-e-alibhai ki laash pay mazloom bahan ro na sakilaashe urya pe lahu, chashme falaq roti thikalma padte the payambar ka aur haste the shaqilaash par jamti thi khaaq aur yeh deti thi sadawo shahenshah-e-zaman...6. Parcham-e-hazrat-e-abbas uthaane walerahe aabad aza-khaane sajaane waleaur salamat rahe nauho ko sunane walegham-e-sarwar me hai jo ashk baha ne walefatema zahra unhe khuld mein deti hai duawo shahenshah-e-zaman...7. Zikr-e-maula me qalam rok na apna mehshardekh zainab ke nahi sar pe abhi tak chaadarpursa deta rahe ashaar se sheh ka mehsharrakh tasawwur mei ke hai dasht mein laash-e-sarwarlaashe urya'n ko udata rahe nauho ki ridawo shahenshah-e-zaman...
Wo Shehenshah e zaman
Nadeem Sarwar · 1990
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.