Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ya Ali Hum Yateem Hogaye

Meesum Abbas · 2026

Ya Ali (a.s) yeh kya ghazab hua, haaye hum yateem ho gayeSaaya sar se aap ka utha, haaye yateem ho gaye1-Hain siyah posh sogwaarJin ke dil mein hai Ali ka pyarMomino ki hai yahi sadaAlvida Shah-e-ZulfiqarKis ne qatl aap ko kiya, haaye hum yateem ho gaye2-Hai amaama surkh aye ImamHo qubool aakhri salaamAansoo aankh mein liye huePursa de rahe hain sab ghulaamGhar mein bich gayi saf-e-aza, haaye hum yateem ho gaye3-Dekha jab Hasan (a.s) ne zakhmi sarRoye baba baba bol karIbn-e-Muljim-e-laeen neEk namazi roza daar parWaar itni zor se kiya, haaye hum yateem ho gaye4-Kehti hain Ali (a.s) ki betiyanAankhein kholiye aye baba jaanDekhenge kafan mein aap koHum ne aisa socha tha kahanDil ko kaise chain aayega, haaye yateem ho gaye5-Kaun pyar se bulayegaKaun ab galay lagayegaSar pe haath rakh ke baba jaanKaun humko dega ab duaKaise guzrega din Eid ka, haaye hum yateem ho gaye6-Maa ke baad baap hi to thaJis ne humko rone na diyaJab bhi maa ki yaad aayi toBaba ne galay laga liyaKaun dega humko hosla, haaye hum yateem ho gaye7-Lipti jab janaze se behanBole yeh Hussain (a.s) se Hasan (a.s)Thehar jao thori dair aurBandhna nahin abhi kafanDekhne do chehra baap ka, haaye hum yateem ho gaye8-Jab se yeh tabeeb ne kahaDoodh hai ilaaj marz kaAaye the jo pyaale thaam karKaun un yateemon ko bhalaJa ke yeh khabar sunayega, haaye hum yateem ho gaye9-Zakhmi sar woh khoon Ya Ali (a.s)Bhool na sakenge hum kabhiHaan shahadat-e-Ali (a.s) ke dinMesum aur Zeeshan AbidiDe rahe hain ro ke yeh sada

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.