Ya Ali a.s Ya Sanjad a.s ×3Karbala hai aabad,,, ya ali a.s ya Sajjad a.sGhumzadon ki faryaad,,ya ali a.s ya SajjadHogaya ghar barbaad,,ya ali a.s ya Sajjad a.sAao behre imdaad,,,ya ali a.s ya Sajjad a.s×3YA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Haye wo shame ghareeba'n ka andhera hayeHaye sadaat ke qaimo'n ka wo jalna hayeHaye beemar wo seh roz ka pyasa hayeHaye qaimo'n mein tha zainab tera Pehra hayeGhum tha pyaso'n ka ajab ghum wo sahe jati thiPehra dete huwe zainab ki sada aati thiYA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Khaak par sogaya jab ban mein shahe karbobalaAina aina ki sadao'n ka huwa ik nohaDekhte kya hain ke ik nahni zaeefa wallahRan mein aaye hai a kehte huwe baba babaSehm kar khouf se aada ke wo chillati thipehra dete huwe zainab s.a ki sada aati thiYA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Haye sajda wo imamath ka sare dashte balaHaye wo zainabe be sar ka sare be pardaIk taraf aag se jalta huwa qaima dekhaIk taraf dushmane shabbeer ka naiza dekhaJalte qaimo'n mein hi mar jaye'n ya baher nikle'nKis tarha parda bachaey'n ye zara batlaeye'nYA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Khoon aankho'n se baha madare asghar ka jahanKhaak ba dard se be saaqhta chillaeye wahanAur noha tha labe madare asghar pa aaya'nAaj ke baad hame koun kahega AmmaMera daman bhi jala kokh bhi ujdi hayeAaj barpa ye qayamat huwi kaisi hayeYA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Rukh najaf ko kiya laila ne padha ye nohaMere akbar ke kaleje ko zara dekh khudaAaj ummat ne risalat ka sila kaise diyaShakle ahmad ke hi seene mein utara naizaAb kahan jaoo'n mein ye ghum ki kahani lekarKaise jee paoongi akbar a.s ki jawani lekarYA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Lashe akbar hai kahin bazoo e abbas a.s kahinZulm hota hai kahin zulm ka ehsaas kahinAik umeed kahin aik ki hai aas kahinKhushkh mashkeeza kahin pani kahin piyaas kahinHaye maidane jafa karbobala wa wailaHar taraf dashat se aati thi sada wa wailaYA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Ban mein aati hai jahan girhaeye qasim ki sadaHai wahan girya kuna madare qasim aey khudaMaa ka ghum gush ka wo aalam wo sare karbobalaKoun farwa ko sambhalega sare dashte balaKhoon Rota hai fughan karta hai mera betaBan mein be jurm o khata deen pa jo khurbaan huwaYA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Haye irfan wo maqtal wo qayame sarwarHaye shozab kabhi zainab kabhi nahna baqir a.sHaye rota hai koi ban mein ye kehkar akbarHaye lab par hai kisi ke mera nahna asgharHar koi dasht main rota hai fugha'n karta haiWaqte aakhir wo faqat itna aaya'n karta haiYA Ali a.s YA Sajjad a.s×4Toota naiza liye zainab s.a ne diya jab pehraAik ghoda sare maqtal jo najaf se aayaBinte haider ne ye abbas ke lehje mein kahaSooeye qaima nahi chohdo'ngi yahi'n par rukjaTeri ghurbat ke sahare ke liye aaya hunHaye zainab a.s mujhe pehchaan tera baba hun,,,,,,
Ya ali ya sajjad
Shozab Abbas · 2016
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.