Shaam e ghareebaa'nYa aliyun, ya aliyun, ya aliyun, ya ali..(3)Ya ali ya ailiaya, bul hasaniya buturab..(2)Bhai mera qatl hua, aaiye baba shitaab, bul hasaniya buturaabYa ali ya ailiaya, bul hasaniya buturab..(2)1. Lo phayl gaya shame ghareeba'n ka andheraasbaab luta jal gaya sadaat ka khaimabe goro kafan rann me hai shabbir ka laashasab maare gaye dasht mein zainab hui tanhaasghar e besheer ko rone lagi umme rababbul hasaniya buturaab2. Haye wo bahan jiske ho atthara baradaraur baap bhi jis beti ka ho fatahe khaibarnarghe me laeeno'n ke wo mazloom khule sarkaise na kare nauha wo phir khaak uda karnauha kuna khuld me hai rooh e risalat muaabbul hasaniya buturaab3. Akbar ka jigar hogaya barchi se do paraaur asghar e masoom bhi maara gaya pyaasatukde huwa maidaan me naushaah ka laashamaara gaya wo sher jo tha sabka saharaaun o mohammad ka mila khaak me kaisa shabaabbul hasaniya buturaab4. Rehan bohot ho chuki ab ashk feshanizainab pe musibat ki ye purdard kahanisab ehle azaa sun chuke sarwar ki zabanithamti hi nahi aankho'n se ashko ki rawanikaun sune qissa e ghum kisme rahi itni taabbul hasaniya buturaabYa ali ya ailiaya, bul hasaniya buturabBhai mera qatl hua, aaiye baba shitaab,bul hasaniya buturaab
Ya aliya ailiaya
Ali Shanawar and Ali Jee · 2016
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.