Aah, Jannatul Baqee, Aah, Jannatul BaqeeAaye the Madine mein Teri karne ziyaaratDil tukde hua dekh ke Bibi teri gharbatAb bhi hai Musalmanon ko ye tujh se adaawatEk shama ko mohtaaj hai Bibi teri turbatRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraYa Fatima Zahra, Ya Fatima ZahraHaaye Zahra, Haaye Zahra, Haaye Zahra, Haaye Zahra,Aaqa ka kafan bhi abhi maila na hua thaDarwaza jala kar tere pehlu pe girayaDo pasliyan tooti, tera Mohsin gaya maaraBe-saakhta us waqt padha tu ne ye nauhaBe-dard laeeno se bacha lijiye BabaHain aap hain, mujh ko bula lijiye BabaRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraYaad aa gayi bechargi-e-Fatah-e-KhaibarAfsos, giraftaar-e-sitam ho gaye HaiderChillati rahi, behr-e-madad, bint-e-PayambarSar pairon pe Amma ke rakhe rote the SarwarIs zulm ke toofaan se kis kis ko nikaaleBachchon ko sambhaale ke Ali khud ko sambhaaleRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraYaad aa gaya, Bibi, tera darbaar mein jaanaBaithe hain sitamgaar, khadi roti hai ZahraDo lafz tasalli ke bhi koi nahin detaKya aise diya jaata hai ek baap ka pursa?Uthte the Nabi, jis ke liye, kab se khadi haiKam-zarf se, badbakht se, haq maang rahi haiRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraJab tak rahi duniya mein, tadapti rahi ZahraDin raat Madine mein yahi padhti thi nauhaSeene se mujhe apne laga lijiye, BabaHo jaata siyaah din, pa agar waqt ye padtaZaalim, pa asar kuch nahi fariyad ka meriKya hoga khuda jane ab aulaad ka meriRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraDin raat isi gham mein tadapti rahi ZahraKya hoga, Khuda jaane, mere baad Ali kaChhut jaayegi kuch roz mein mujh se to ye duniyaDe ga mere bachchon ko bhala kaun sahaara?Afsos, sad-afsos, safar kar gayi ZahraTanha hain Ali, koi nahin, mar gayi ZahraRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraChhay (6) Maah bhi seh paayi na Baba ki judaaiDuniya se safar kar hi gayi gham ki sataayiMil hi gayi har zulm se Zahra ko rihaaiTareekh se poochhe koi, Haider ki duhaaiJab Fatima Zahra ko kafan dete the MaulaHaathon se kaleje ko pakad lete the MaulaRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraTaiyaar hua jaise hi Zahra ka janaazaTab aakhri deedaar ko bachchon ko bulaayaSar pairon pe rakhte hain Hasan, padhte hain nauhaKuch door khada rota hai Zahra ka chaheetaTab band-e-kafan tod ke chillati hai ZahraAa Seene se lag ja mere, ab jaati hai ZahraRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraHai chaaron taraf saare Madine mein ujaalaEk qabr hai Zahra ki, jahaan par hai andheraTurbat ko teri takta hai Sarkaar ka rozaMilti hai humein roz saza, Fatima ZahraZawwaron ko ye roz saza dete hain zaalimRote hain to jaali se hata dete hain zaalimRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraHum qabr pe, Bibi, teri aa bhi nahin sakteHum haal-e-judaai ka suna bhi nahin sakteJo dil pe guzarti hai, bata bhi nahin sakteDo ashk tere gham mein baha bhi nahin sakteTurbat ka nishaan bhi ye mitaane pe ade hainHum door hain, nazdeek ye shaitaan khade hainRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraUtha shab-e-taariki mein Zahra ka janaazaKuch logon se naraaz gayin Fatima ZahraAaye jo Ali le ke Baqaiye mein janaazaTab qabr se aayi ye sada, laadli aajaLa de de Ali, meri amaanat mujhe de deBachchon ko sambhaal, aur ye mayyat mujhe de deRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraKhaamosh khade rote hain sab haaye azaadaarMatam na teri qabr pe kar paaye azaadaarMitti na teri qabr ki chhoo paaye azaadaarYe zakhm Madine se naye laaye azaadaarKis Tarha se loota hai Muhammad ke chaman koMaa, qabr ko mohtaaj hai Shabbir kafan koRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraHar ek yahi keh ke dua ghar ko hai lautaAa jaiye, aa jaiye, aa jaiye, AaqaLe lijiye shaitaanon se mazlooma ka badlaAap aayein to taiyaar ho Masooma ka RauzaIn saare Yazeedon ko zamaane se mita doPhir farsh-e-aza saare Madine mein bichha doRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima ZahraKya aur RAZA likhe, ke tukde hai kalejaRauza tera, Tayyaar ho, Ya Fatima ZahraARSHAD padhe khud aa ke Baqee mein ye nauhaDe saare azaadaar tere laal ko pursaHai jitne Fadak-khor, woh dozakh mein jalengeJannat mein faqat Shah ke azaadaar rahengeRauza tera veeran hai, Ya Fatima ZahraBikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra
Ya Fatima Zahra (s.a)
Arshad Raza Gopalpuri · Poet: Raza Sirsivi
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.