Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ya hassan

Tejani Brothers · 2008

Ya hassan[Ya Hassan] ×12Ay ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×21.Zeyr-e-halaa hal mila, tukre jigar hogayaTeer sitam se huwa surkh kafan aap kaAap ka tabut bhi lot ke ghar aagayaAy ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×22.Sulho ka andaaz jo sabz kabahi me thaAmn ka har marhala raah numayi may thaSabr aya(n) aap ka sari khudayi me thaAy ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×23.Seerato qamat me the aap shabi-e-nabiAap ali manzilat aap ali azm bhiTeghe kalam behr me aap ke hatho(n) chaliAy ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×24.Khoon se lagan bhargaya kaysa sitam hogayaZowja-e badbakht ne aap pe ki thi jafaGham se bura haal tha zainabo kulsum kaAy ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×25.Teero(n) ki barish huwi aap ke tabut parPehla janaza tha jo lot ke aaya tha gharKarbobala ke liye thi yahi pehli khabarAy ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×26.Sara badan sabz tha zehr ki taseer seDard ye puchhe koi hazrate shabbir seSurkh tha ujla kafan aap ka jab teer seAy ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×27.Nana ke pehlu me bhi dafn na hone diyaKayse sitamghar the baniye zulmo jafaKayse laeeno ne ki zulm ki ye intehaAy ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×28.Kya likhu(n) "rehan" ab gham se jigar chaakh heAaj ghamo ranj ki sar pe mere khaak haiShor bapa aaj ye barsare aflaak haiAy ruh-e-mustafa, Ay ibn-e-murtaza, ay jaan-e-sayyeda[Ya hassan-e-mujtaba, ya hassan-e-mujtaba] ×4

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.