Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ya hussain ibn-e-ali

Tejani Brothers · 2009

[Hussain ya hussain] ×4Kullu yawmin ashura, kullu ardhin karbala[Hussain ya hussain] ×2Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×21. Dasht karbal me tera, laash teeron pe pada,Rorahi thi ye zami(n), aasma(n) rota rahaHaaye madar wo teri, bayn ye karti rahi,Ay mere pyaare hussain, god me aao zaraSarakhat fatematah, al Hussainun qatalah,yarqudu alas-seham, waa Habibi waladi[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×22. Tere asghar ka gala, tere akbar ka jigar,Bhaayi abbas ke gham, me teri tooti kamar,Aur paamal badan, ran me qasim ka huwaEk din me hi luta, karbala me tera ghardhubihoo kullu baneen, tasjudu anta jabeen,tashkuru khaaliqaka, ya ilaaha al-azali[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×23. Ran me talwar bina aaye abbas e ali,Har taraf hamla huwa, mashke paani bhi chidi,Ankh me teer laga aur paywast huwa,Dono bazu ko kata, ke gira asbe jariWa huwa kullu al-wafa, yasrukhu bar wa samaa,saqat Abbas jari, min Hisaanin khashbi[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×24. Haaye besheer tera, bezaba(n) qatl huwa,Pyaas ke badle jise, zulm ka teer milaAlqama roti rahi, larzi karbal ki zami(n)Tumne jab uska lahu, apne chehre pe malaWa buka nahrul furaat, raahat min jismi hayaat,inda waslis sahami, ala Hulqoom iz-zaki[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×25. Asr ashur ka waqt, kaise hum bhool sakeAayi awaaze aza(n), aap ghode se gire,Khayme ke darpe teri, behen khu(n) roti rahiTha tera paak gala, shimr ke tegh taleAktubu kayfa ana, rabbuka yandhurka,thumma Allah yaqool, irjie'ee ila rabbuki[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×26. Aag se khayme jale, sar se chaadar bhi chhini,Dasht me tanha sakina teri roti rahiToq me bandha gaya, tere abid ka gala,Teri mazlum behan, berida shaam chaliAshalu kullul khiyam, feeha abnaaul imaam,udhhibu ahlan-nabi, ila qasar il-umawi[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×27. Tere sajde se bachaa, hai namaaz aur qura(n)Aaj masjid se jo aati hai awaaze azaa(n)Humko karbal ne sikhaya hai jeene ka hunar,Teri qurbaani se baqi hai ye arz-o-samaa(n)Ya imaam al-abraar, anta ya bal ahraar,saabirun ibn sabur, ya ameeral al-abadi[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×28. Aaj ghar ghar hai saja, tere ghazi ka alam,Umr bhar humko rulaata rahega tera ghamHar gali aur shahar, tera matam hai bapaKhu(n) bahaate hi rahenge tere naam pe humumruna feeka fida, ahluna kullu laka,nadhkurooka sayyidee, ya Hussain ibni Ali[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×29. Hai tejani ka qalam, aur dil nawha kunaa(n)Ye muqaddar hi tera, kistarha hoga bayaa(n)Jalti reti pe pada, tera laasha bekafanAapke paak badan, se huwa khoon rawaa(n)Jismuka fawqa turab, wa damun kullu thiyaab,ihtaraq jismuka min, barri wa ash-shamsi ghali[Waris-e-ilm-e-nabi, ya hussain ibn-e-ali, tere sadqe se mili, zindagi hamko yahi] ×2[Hussain ya hussain] ×2

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.