Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ya Sayyeda.

Shahid Baltistani · 2004

Ya Sayyeda[Haae Zaeefa fatema] ×2Rokar pukaari, apne baba se, hasnain ki, zaeefa maasubbat alayya, masaibun, lau annahaa, subbat alal ayyaami, sirna, layaaliyaa[Sayyada, Fatema, Tahera, Sayyada] ×4[Ya Sayyada, ya sayyada] ×2[Ay Atharaa baras ki paak, zaeefa bibi] ×2 zindagi hai teri masaa'ib ka sahifa bibi[Ya Sayyada, ya sayyada] ×2Is saari qaaenaat mei, zahra hi aisi maa hai, saaya fighan usi pe,zakhmon ka aasmaan hai, tori gayi hai zulm se, bibi ki pasliyaan,rukhsaar pe tamache ka, bibi pe ek nishaan hai[Ya Sayyada, ya sayyada] ×2Dunya se jo ye baat hi, kehti chali gayi hai, baba sitam ki mujpe,wo intehaa huwi hai, parhte jo din pe raat sa, tareek hota din,talwaar-e-gham kaleje par, baba mere chali hai[Ya Sayyada, ya sayyada] ×2Who ghar jahaan pe mout bhi, ijazat talab huwi hai, us dar ko aagaap ki, ummat lagaa rahi hai, mohsin shaheed hogaya, baba sitam huwa,baba tumhaari fatema, chakra ke gir pari hai[Haye zaeefa fatema] ×2Baad-e-Wisal-e-zahra bhi, gham ka safar raha hai, uski misaal shaamhai, kufa hai karbala hai, zahra ke bete betiyaan, khun mei nahaa gaye,neze pe koi sar koi, sar beridaa huwa hai[Ya Sayyada, ya sayyada] ×2Ye maa jab apne laal ke, laashe pe aayi thi, aankhon se ashk laabpe, bas yeh duhaai thi, kehti thi mere laal ay, mere tishnalab hussein,tu hi to mujh gharib ki, saari kamaayi thi[Ya Sayyada, ya sayyada] ×2Is maa ne saath shaam ka, pedal safar kiya hai, zainab ko raaheshaam mei, wo honslaa diya hai, rokar pukaari saath hai, zainab ye terimaa, tu beridaa nahi hai ye, zahra ka sar khula hai[Ya Sayyada, ya sayyada] ×2Darbaar-e-shaam mei gayi, zainab jo beridaa thi, beti ke saath rote,wohi amma sayyada thi, kehti thi teri aur meri, taqdeer ek hai, tujhpar ghamon ki had huwi, mujh par bhi intiha thi[Haye zaeefa fatema] ×4"Rehan azmi" ye, hasnain ki jo maa hai, maqtal mei karbala ke, kartihuwi fughaan hai, bikhre hai baal dard se, chehraa nidhaal hai, gham sezaeef hogayi, aankhon se khun rawaan hai[Sayyeda fatema tahera sayyeda] ×4

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.