Aye meri sakina..(2)tum bhej to rahi ho bus itna yaad rakhnayaad aayega abbas, magar laut kar nahi1. Jaane ki tum ijazat inko dila rahi hotumko khabar nahi hai kya karne jaa rahi hoye jaake laut aaye mumkin nahi sakinayaad aayega abbas, magar laut kar nahi2. Bachpan mein inki godi gehwara tha tumharamaa banke tumko bibi abbas ne hai paalaro'oge jab to kiska tumko milega shaanayaad aayega abbas, magar laut kar nahi3. Saaya utha jo inka phir chayn na milegaphir kaun haath sar pe yu'n pyaar se rakhegaro ro ke phir sadayein ammu ko tum na denayaad aayega abbas, magar laut kar nahi4. Ye baat raaz ki hai tumko bata raha huzainab se aaj tak mai jisko chupa raha hubaad inke phir mera bhi mumkin nahi hai jeenayaad aayega abbas, magar laut kar nahi5. Do haath khoo'n mein doobe dekho agar kahi'n toseene se dum nikalta mehsoos hoga tumkowo haath chum kar bus seene se tum laganayaad aayega abbas, magar laut kar nahi6. Barsaat pattharo'n ki dekhi to kya karogithamogi haath kiska naaqe se jab girogitaqdeer mein hai likkha bazaar e shaam janayaad aayega abbas, magar laut kar nahi7. Zindaan ke andhere tanhaiyo'n ka aalamus par sitam ye hoga dooba lahu mein parchamek zakhmi mashk uspar dekho to khoob ronayaad aayega abbas, magar laut kar nahi8. Kehti hai ye sakina 'rehan' jaise ab bhiammu ko mere laado mangungi ab na paaninauha kuna raza ho jaise ke qaid khanayaad aayega abbas, magar laut kar nahitum bhej to rahi ho bus itna yaad rakhnayaad aayega abbas, magar laut kar nahi
Yaad aayega abbas magar laut kar nahi
Syed Raza Abbas Zaidi · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.