Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Yaad aayi na tumhe fatema sughra

Farhan · 2008

Baba ka karte karte intezarr...Jab thak gyi sughra...Ro ro k apne baba ko...Sughra ne khat likha...Tum gye ghr se meri luth gyi duniya baba..Yaad ayi na tumhe fatima sughra baba..×2Karbala jake hamein bhool gye kia baba..Yaad ayi na...×21. Kya kahun usne hai kis tarha se tadpaya mjhe..Eid ka chand falak par jo nazar aaya mujhe..Us ghadi dil may mere..×2Dard utha tha baba...Yaad ayi na tumhein..×22. Baba thi neend guzari hai yahan ro ro kar..Mjhko eidi may mile askh jafa zakhme jigar..Mainey har eid pe ye..×2...Nauha padha tha babaYaad ayi na..×23. Ab to asghar bhi mera ghutniyon chalta hoga.Yaad kar kar mjhe jhoole may machalta hoga..Mujhko sab yaad hai par..×2 zulm hai kaisa baba...Yaad ayi na tumhe...×24. Sunti hu dasht may akbar ki rachayi shaadi...Bhai qasim k bhi haato may lagi hai mehndi...Jab sakina ko wahan..×2Negh diya tha baba...Yaad aayi na tumhe...×25. Baba qismat se muqaddar se gila kya karna..Mere akbar ne bhula daala jo wada apna...Khat mera dasht may jab..×2Aapne paya baba...6. Jab nazar aate hain bacchon k ye khali hujre...Yaad phir auno-mohd ki satati hai mjhe...Sab ki yaadon ne mjhe..×2Khoon rulaya baba...7. Kaise farhan ye mazhar ye masaib likhe...Fatima sughra k ehsas qalam band kiye...Kaun abh aake mjhe...×2Dega dilasa baba...Yaad ayi na tumhe fatima sughra baba....

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.