Azadari MediaAzadari Media

Ye Ajre Risalat Paya Hai

Farhan Rizvi · Poet: Rizwan Karbalai · 1446

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Ummat Se Aale Mohammad Ne Ye Ajr-E-Risalat Paya HaiYasrab Mein Kalma Goyo Ne Zahra (S.A.) Ke Dar Ko Jalaya Hai1. Is Zulmo Tashaddud Se HaayeZakhmi Hai Seena-E-Risalat KaMarkad Se Nabi Ye Poochte HainKya Thi Meri Lakht-E-Jigar Ki KhataBatao Zara Ae Musalmano, Kyun Aal Pe Mehshar Dhaya Hai 2. Aankhon Mein Ashkon Ka Dariya HaiHar Waqt Labon Par Nauha HaiMohsin Ki Khata Kya Thi LogoIk Maa Ka Dil Ye Poochta HaiDuniya Mein Aane Se Pehle Masoom Ka Khoon Bahaya Hai 3. Is Manzar Se Hoti Hai GhutanRo Ro Kar Ye Kehte Hain HasanKyun Zulmo Tashaddud Dhaate HoKyun Daali Hai Gardan Mein RasanKis Jurm Mein Kalma Goyo, Mere Baba Ko Qaidi Banaya Hai 4. Hai Jis Pe Naaz Sadaqaton KoDarbaar Mein Us Par Kya GuzriTehreer-E-Mohammad Ke TukdeChun Kar Ye Zahra (S.A.) Kehne LagiDarbaar Mein Jhoothon Ne Mil Kar Siddika Ko Jhutlaya Hai 5. Jis Dar Pe Payambar Jhukte TheUthta Hai Dhuan Ab Us Dar SeZahra (S.A.) Se Chhina Baagh-E-FidakAur Chhini Khilafat Haider SeZahra O Ali Ke Kunbe Par Ye Kaisa Ghamon Ka Saaya Hai 6. Maujood Ali Ke Hote HueYe Kaisi Qayamat Aayi HaiChalti Hai Ghar Mein Asa LekarBaalon Pe Safedi Chhaayi HaiIs Darja Bint-E-Ahmad Ko Kalma Goyo Ne Sataya Hai 7. Haalat Pe Ab Bhi Baqayya KiMarkad Mein Risalat Roti HaiRaaton Ko Andhera Hota HaiAur Dhoop Dino Ko Padti HaiZahra (S.A.) Ki Turbat Par Logo, Na Shamma Hai Na Saaya Hai 8. Ayyam-E-Aza-E-Zahra (S.A.) ParHar Aankh Se Aansu Jaari HaiRizwan Ke Likhe Masaib SeIs Darja Riq'at Taari HaiHaathon Ko Seene Par Rakh Kar Farhan Ne Nauha Sunaya Hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.