Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ye farsh e aza hai

Tejani Brothers · 2022

Ye farshay aza hai Zehra ki dua haiMajlis ka saleeqa zainab se mila hai......Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai1) Ghazi ki dua lo parcham ko uthakar,Tum jaao yaha se doh ashk bahakar,Aansu hi tumharay mehshar ki baqa hai.....Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai2) Azmat hai ye matam ulfat hai ye matam,Nizbat hai ye matam saadat hai ye matam,Is qalb me mere bas karbobala haiYe farshay aza hai Zehra ki dua hai3) aankho se nikalkar jo behtay hai aansu,Rumaal me Zehra ke rehtay hai aansu,Firdous hamari bas iski jaza hai,Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai4) hamsheer ka armaan shabbir ka matam,Is gham me sabhi ki har aankh huwi num,Ye farsh aza ka Har ghar me bicha haiYe farshay aza hai Zehra ki dua hai5) barpa huwi majlis jab farshay aza per,Abid nazar aaye ghash me kahi(n) rokar,Har jinn o bashar sab masroof e buka haiYe farshay aza hai Zehra ki dua hai6) kis ja pe ho Asghar kehti hai sakina,Bechain tere bin rehti hai sakina,Masnad pe aza ki behna ki sada....Ye farshay aza hai Zehra ki dua hai7) shabbir ki Nusrat hai farshay aza me,Mehsus ye hoga ho karbobala meEk teigh ke nichay Sarwar ka gala haiYe farshay aza hai Zehra ki dua hai8) Aey momino samjho azmat ye aza ki,Karti hai jo shirkat zehra ki sawaari,Haq me ye sabhi ke ek maa ki dua haiYe farshay aza hai Zehra ki dua hai9) Akbar tera noha sunkar mere moula,Wo humko Tejani dikhlaengey rouza,Khadim hu mai sheh ka rutba ye mila hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.