Do baar utha ghar sey Shabbar ka JanaazaYeh Zulm Hai KaissaZainab key labon par hai har waqt yeh NohaYeh Zulm Hai KaissaNikla tha Janaza jo ghar laut key aaya haiUjla tha Kafan leykin ab khoon mei nahaya haiBehnon ney kahan rokar hum luthgaey bhayyaYeh Zulm Hai KaissaKya Pehlu-e-Madar mei na dafn huwa bethaJaan leykey bhi ummat ko kya chayn naheen ayaJiss ghar sey mila kalma uss ghar ko hi luthaYeh Zulm Hai KaissaPhir Khana-e-Zehra mei Matam hai qayamat kaQassim ki yateemi par kartey hai Haramm giryaWaali key guzarney par behosh hai FarwaYeh Zulm Hai KaissaKarti hai bapaa matam Awlaad-e-Nabi saariHai sarey Madiney mei Shabbar ki AzaadariHar shaqs key hothon par, hai eyk hi jumlaYeh Zulm Hai KaissaShabbir bhi rotey hai bhaayi ki judaayi meiAb koyi naheen tumssa iss saari Khudayi meiTeeron sey sajaaya hai Taaboot tumharaYeh Zulm Hai KaissaIss teeron ki baarish mei Taboot uthey kaisseyAaey na Janazey mei As'haab Payambar keyIn bhugh key maaron ney yeh din bhi dikhayaYeh Zulm Hai KaissaAmma ki judaayi key they zakhm abhi taazaZainab ko uthana hai ik aur abhi sadmaHai "Mazhar" o "Sadik" ka Majliss mei yeh NohaYeh Zulm Hai Kaissa
Ye zulm hai kaisa
Sadik Abbas · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.