Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Yeh meri jaan ya hussain

Zille Raza · 2016

Ya hussain, ya hussain, ya hussain..(4)Yabnaz zahra, ya hussain, hussain, hussain, hussain, hussain..(3)yabnaz zahra..ek roz jab mai majlis e shabbir mein gayafarshe azaa pe pohcha to manzar ajeeb thathe hazrat e hussain ke (aashiq hazaar haa)..(2)har aashiq e hussain ke lab par thi ye sadaamai.. fana fil hussain..(2)be saakhta ye mera lahu bolne laga..(2)aye dasht e zulm o jaur ke mehmaan, ya hussain{yeh meri jaan ya hussaintujhpe qurbaan ya hussain}..(2)1. Har khushi bhool ke ghum tera manaya maulabanke naushaah alam tera uthaya maulamaine is baat ko eemaan banaya maula..(2)kuch nahi aaya agar ghar mein na aaya maulasaare armaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussainyeh meri jaan...2. Imteha teri mohabbat ka mohammad ne diyaek pehlu mai hai tu ek mein unka betabola jibreel kisi ek ko lejaunga..(2)has ke bole ye mohammad mera beta lejaamera zeeshan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussainyeh meri jaan...3. Zindagi kya hai tere ghum ke siwa kuch bhi nahigar tera zikr nahi zikr e khuda kuch bhi nahilikhne walo ne fazael mein likha kuch bhi nahi..(2)do jahan bhi tere matam ke bina kuch bhi nahideeno eemaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussainyeh meri jaan...4. Mit nahi payegi duniya se kahani terimashk o taboot o alam jhula nishani teribaat dohraega duniya mein ye paani teri..(2)ho nahi sakti kabhi yaad purani teriye dil o jaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussainyeh meri jaan...5. Deen ki raah mein kuch bhi na bachaya tunenaam e khaliq ke liye ghar ko lutaya tunejo na nabiyo se hua karke dikhaya tune..(2)sura e kahf jo naize pe sunaya tunebola qur'aan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussainyeh meri jaan...6. Zindagi maangi hai bus teri azaa ki khatirsar hatheli pe liye rehte hai har dum hazirnasir e deene khuda tu hai ye tere nasir..(2)matami tifl o jawa'n peer ye tere zakirmarsiya khwaan ya hussain, tujhpe qurbaan ya hussainyeh meri jaan...7. Jab ran mein qatl hogaye ansaar e shaahe dee'naur yawaro mein koi bhi baaqi raha nahighabra gayi kuch aur bhi phir zainab e hazee'nbacho ka haath thaame gai bhai ke qaree'nboli ke ye tumhari behan ka qaraar hai..(2)pyaare hussain tumpe ye bachhe nisaar haiya hussain ibn e ali..(4)8. Yeh baat sunke rone lage shaah zaar zaarbole ye tumne kya kaha amma ki yaadgaarinki mase na bhigi na aayi abhi bahaaraye behna ye hai haider o jafar ke gull o zaarzainab tumhare laadle khoo'n mein nahayenge..(2)ye laal humse pehle hi jannat mein jayengeya hussain ibn e ali..(4)9. Jitne bhi the hussain ke yaawar hue shaheedabbas o qasim o ali akbar hue shaheedhadd hai ke teer se ali asghar hue shaheedphir waqt e asr aagaya sarwar hue shaheedroohe nabi ko fatima zehra ke chayn komaara hai teen roz ke pyaase hussain koya hussain ibn e ali..(6)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.