Zafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e Jinn(1) Ghulam e Fatah e Beerul Alam, main Zafar huQaum e Jinnat ka Shah e Umam, main Zafar huKhaas mujh par hain Ali (a.s.) ka karam, main Zafar huAaj rota hu magarThaam kar apna jigarDasht me mara gayaMere Aaqa (a.s.) ka pisar (a.s.)Hai yeh afsos me maujood rahaJaan Maula (a.s.) pe fida kar na sakaHaaye kuch Kar na sakaZafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e Jinn.....Suno main tumko batata hu waqea Jo hua....Roz e Ashoor tha, pehla hua tha raaj mera.....Woh mere jashn ka din tha, saja tha taaj mera(2) Do ghulamon ne mere aake kaha, aye MalikJiske baba ke sabab taj mila, aye MalikQatl hota hain jo Malik, hain tera aye MalikHogaya hashr bapaTaaj pairon me giraApne lashkar ko liyeMain chala KarbobalaHai yeh afsos me maujood rahaJaan Maula (a.s.) pe fida kar na sakaHaaye kuch Kar na sakaZafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e Jinn(3) Meri parwaazMeri parwaaz hui shehr e Musayyab pe tamamMujhko ta hadd e nazar aya nazar lashkar e ShaamMain badha aage, ke mil jaye mujhe mere Imam (a.s.)Ruk gaye mere qadam..Ruk gaye mere qadam ...Jaha Shabbir (a.s.) ko insaanon ne tanha dekhaMeri aankhon ne waha laakhon ka majma dekhaAmbiya bhi the, Malaek the ajinnah the khadeAisi noorani bashar the ke nazar na thehreEk jaanib the Rasool (s.a.w.a.) e Arabi, Ek jaanib the Ali (a.s.), Ek jaanib the Hasan Ibn e Ali (a.s.)Phir na aankhon ko meri taab rahi, Maine Zahra (s.a.) ki sawari dekhiApni nazron ko jhukakar, jo hataya peecheNabi Adam (a.s.), Nabi Moosa (a.s.), Nabi Haroon (a.s.) dikheIsa (a.s.) o Yusuf (a.s.) o Yaqoob (a.s.) bhi pehlu me mileHud (a.s.) aur Lut (a.s.) kahi, Nuh (a.s.) kahi, Khizr (a.s.) kahiZikriya (a.s.), Yarmiya (a.s.) aur Shees (s.a.) o Sulaiman (a.s.) bhi theMukhtasir yeh ke Nabi saare waha the maujoodUnke peeche thi Malaek ki qatarein maujoodFarishte gaan e Jahannum, farisht e gaan e BehishtIsraeel, Israfeel, Mikaeel, DardaeelRizwan aur Maalik, Fitrus wa Jibraeel(4) Saath Shabbir ke maujood the sab Aali MaqaamMaine Socha ke kaha jaye bhala adna GhulamMujhko pehchaan bhi paye ya Nahi mere ImamHaye ummeed mere dil me murjhane lagiKe achanak wahe se yeh sada aane lagiAao Zafar, Aao ZafarAao Zafar tumhe Shabbir ne bulwaya hainZafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e Jinn(5) Pohoncha qadmon me kaha Maula Shah e Jinn o BasharHo salaam aap pe is jinn ka Shah e Jinn o BasharHukm pe aap ke hu fidya Shah e Jinn o BasharDil mera doob gayaJab yeh Maula ne kahaTum palat jaao agarHone aaye ho fidaHai yeh afsos me maujood rahaJaan Maula (a.s.) pe fida kar na sakaHaaye kuch Kar na sakaZafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e Jinn(6) Maine Maula se kaha izn mujhe de Shah e DeenBole Shabbir yeh Jinnat ki hain jung nahiMain yeh bola kaha insaan hain, darinde hain sabhiBole Shabbir ke Nana ki yeh ummat hain meriInhe tum kuch na kaho, Inhe tum kuch na kahoTum hi batlao jiyu kaise bhala main ZafarAao dikhlau tumhe Karbobala main ZafarJanisaaron ke janaze dekhoMere pyaaron ke yeh laashe dekhoTukde Qasim ka sarapa dekhoZakhmi Akbar ka kaleja dekhoKahi Abbas ke bazu, Kahi Asghar ka guluRan me bikhra hain sabhi Bani Hashim ka lahuHai yeh afsos me maujood rahaJaan Maula (a.s.) pe fida kar na sakaHaaye kuch Kar na sakaZafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e Jinn(7) Dil ko ab taab nahi, phatne laga hain yeh jigarIsse aage main bayan kar nahi sakta manzarMukhtasir yeh ke hue qatl Shah e Jinn o BasharWada Abid se kiyaMain hu masroof e AzaJab talak zinda rahaMain karuga giryaHai yeh afsos me maujood rahaJaan Maula (a.s.) pe fida kar na sakaHaaye kuch Kar na sakaZafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e Jinn(8) Tha yahi Mesum o Salman kalaam e ZafarKarbala me hain jaha dafn Imam e ZafarUsse kuch dur hain maujood Maqaam e ZafarZafar e Jinn ne kiyaApne wade ko wafaAakhri saans talakThi labon par yeh sadaHai yeh afsos me maujood rahaJaan Maula (a.s.) pe fida kar na sakaHaaye kuch Kar na sakaZafar e JinnAna Zafar e JinnZafar e Jinn
Zafar e Jinn
Meesum Abbas · 2019
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.