Azadari MediaAzadari Media

Zahra Ali Ke Ghar

Arshi Naqvi · Poet: Abbas Naqvi Bulandshehri

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Mehmaan Hain Chand Lamhon KiZahra (S.A.) Ali (A.S.) Ke GharMahaul Dard-o-Gham Mein Hai Dooba Ali (A.S.) Ke GharHar Shai Hai Sogwaar Ke Zahra (S.A.) Guzar GayinBint-e-Rasool (S.A.W.W.), Maadar-e-Hasnain (A.S.) Mar GayinChhaane Laga Hai Gham Ka Andhera Ali (A.S.) Ke GharZauja Ali (A.S.) Ki Kar Gayi Rehlat Jahaan SeAayi Sada Jo Rone Ki Ye Aasmaan SeDene Rasool (S.A.W.W.) Aaye Hain Pursah Ali (A.S.) Ke GharMohsin Shaheed Ho Gaye, Tooti Hain PasliyaanRoti Hain Dekh Dekh Ke Maadar Ko BetiyaanTooti Hai Ek Qayamat-e-Kubra Ali (A.S.) Ke GharCheeni Hai Zaalimon Ne Daulat Rasool (S.A.W.W.) KiRehmat Jahaan Se Ho Gayi Rukhsat Rasool (S.A.W.W.) KiPadhte Hain Jibraeel (A.S.) Ye Nauha Ali (A.S.) Ke GharWoh Dar Jalaaya Jis Pe Nabi (S.A.W.W.) Karte The SalaamAate The Ban Ke Fakhr Se Jis Par Malak (A.S.) GhulamBaad-e-Rasool (S.A.W.W.) Ho Gaya Kya-Kya Ali (A.S.) Ke GharMarqad Mein Ro Rahe Hain Shahenshah-e-Ambiya (S.A.W.W.)Gurbat Mein Ki Hai Fatima Zahra (S.A.) Ne Jo GhizaKaisa Sitam Laeeno'n Ne Dhaaya Ali (A.S.) Ke GharKaun-o-Makaan Mein Hota Hai Kohraam Chaar SooAbbas Naqvi, Barpa Hai Maatam Ye Koo-Ba-KooDono'n Jahaan Hain Aaj Ikattha Ali (A.S.) Ke Ghar

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.