Haye zahra.. haye zahraYa zahra....., ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)Zahra ko zalimo ne loota,kyu baad nabi be jurm o khataMakhdooma e do aalam kokyu ghar mein bhi rone na diyaZahra ko zalimo ne loota,kyu baad nabi be jurm o khata1. Jis paak moazma bibi ki tazeem Mohammad karte thedarbaar bulaya ummat ne kalma bhi nabi ka padhte thebaba ki wirasat se na haq, is zahra ko mehroom kiyaZahra ko zalimo ne loota,kyu baad nabi be jurm o khata2. Zahra pe itne zulm hue ho sar ke baal safed gayedarbaar ke khali laut aayi, din raat uske rote kattedukh kaise bhulaye hakim ne, jhutlaye iske paak gawaahZahra ko zalimo ne loota,kyu baad nabi be jurm o khata3. Haq cheen liya jab zahra ka phir bhi na chayn se rehne diyahaider ke gale mein daali rasan nahi zalimo ko kuch aayi hayaghar dakhil hoke ummat ne, kyu zakhmi kiya pehlu iskaZahra ko zalimo ne loota,kyu baad nabi be jurm o khata4. Jis darr ki salami ki khatir din raat malaek sab aateus darr ki azmat kya hogi jaha'n paak nabi khud ruk jaateuss darr aqdas ko aag laga, diya zalimo ne zehra pe giraZahra ko zalimo ne loota,kyu baad nabi be jurm o khata5. Tehreer rasool ki na maani haq maangne ko darbaar gayimohsin bhi 'aqeel shaheed' kiya rahi zinda jab tak roti rahiye ajar risaalat ummat se, haye baad nabi zahra ko milaZahra ko zalimo ne loota,kyu baad nabi be jurm o khataMakhdooma e do aalam kokyu ghar mein bhi rone na diyaZahra ko zalimo ne loota,kyu baad nabi be jurm o khataYa zahra....., ya zahra, ya zahra, ya zahra..(2)
Zahra ko zalimo ne loota
Seerat Abbas · 2014
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.