Haye Zainab....(4)Zainab nahi hain tanha Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya....(2)Qurbaan jab hua tha...(2)Ahmed ka sab gharana....Ya Rab tera tha sayaZainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya...(1) Purkhari rahguzar thi, Dushwaar marhalein thePhir bhi buland ya Rab, Zainab ke hauslein theBan kar Hussain Abid....(2)Ka hausla badhayaYa Rab tera tha saya...Zainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya..(2) Bhulegi kaise Zainab, Karbobala ka manzarBarpa hua tha kaisa, Aale Nabi pe mehsharKhaimon me aag jis dam....(2)Zaalim ne tha lagaya...Ya Rab tera tha saya...Zainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya..(3) Hairaan hoke ya Rab, sab Ambiya ne dekhaDarbaar e ashkiyaan me, Bint e Ali ka lehjaMain hoon Ali ki beti....(2)Zainab ne yu bataya....Ya Rab tera tha saya...Zainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya...(4) Rassiyan bandhi hui hain, Zainab ke baazuon parPhir bhi kiya na shikwa, Zainab ne aafaton parBaad e Hussain Nana....(2)Ka Deen hain bachaya...Ya Rab tera tha saya...Zainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya...(5) Maqtal me chhod ayi, Sibt e Nabi ka lashaBeton ko kaise apne, Deen e Khuda pe waaraChashm e Falak ne dekha....(2)Andaaz e Saaberana...Ya Rab tera tha saya....Zainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya....(6) Waada har ek apna, Zainab nibha rahi hainSabr o Raza ka paikar, bankar dikha rahi hainUmmat ne zulm dhaya ...(2)Jis waqt inteha ka....Ya Rab tera tha sayaZainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya...(7) Zainab ke ronewalon, Paigham e Karbala hainShohada ke khoon se afzal, Maa behnon ki rida hainHain pairwaan e Zainab...(2)Bankar tumhein dikhana....Ya Rab tera tha saya...Zainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya...(8) Mere Khudaya ho phir, Shahid ka khwaab puraBarpa ho Sheh ki majlis, Ya Rab sar e BaqaiyaHasrat hain us zameen par....(2)Zainab ka gham sunana...Ya Rab tera tha saya....Zainab nahi hain tanha, Karbal me aye Khudaya, Ya Rab tera tha saya...(2)Haye Zainab....(5)
Zainab nahi hai tanha
Ali Safdar · 2019
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.