Hayee Ali,Hayee Ali, Hayee Ali, Hayee AliFajar unisween ramzan ki tarpati haiFatima zehra ki jis waqt sadaa ati haiAa dekh le Zainab,tera zakhmi Baba,ghar loat ke ayaa haiKandho pe uthai,yun bete hain laaye,lagta hai janaza haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiMushkil se safar yeh te hai Kiya,jaari hai lahoo ka daryaMasjid se ghar tak,har ik qadam per,beton ne sambhala haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiHalat hee ajab hai baba ki pehchanna mushkil hogaZehra ki garibi,yaad aye gi Bibi,tar khoon mai chehra haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiJirah se hujre ke bahir jab haal hassan ne puchaWo ro ke pukara,mushkil hua jeena,yeh zakham hee aesa haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiAb sham e gariban mai tum ko,yeh chehra nazar ayegaAe sani e zehra,kuch roz ka mehman,ab ap ka baba haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiYeh shana hila ker kehti hain Abbas jari ki madarBibi uth jao,ashkon ko chupao,Baba ne bulaya haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiQadmon mai gir ke zainab ke,ghazi ki behan yeh boliBaba ko bachalo,sadqe mujhe kardo,hazir yeh ruqaiyya haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiIk Roz akaile aana hai,is shehar mai tujh ko BibiKiya hoga najane,shehzadi abhi se,badla hua kufa haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiShabbar ka jigar, Shabbir ka sar, Abbas jari ka bazooKatte dekhogi,ae baba ki piyari,yeh zakhm to pehla haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa haiYeh keh ke taqallum beti se,khamosh hui the maulaDarbar ke dar per,mai aoga milne,zainab mera waada haiAa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai
Zainab Tera Zakhmi Baba
Mir Hasan Mir · 2021
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.