Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Zakhm e akbar pe laila rida daal do

Mir Hasan Mir · 2018

Haye Akbar haaye Akbar..(3)Keh rahe the ye roro ke sarwarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldoMera farzand Hai khoon mein tarr..(2)zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo1) Zakhm se is qadar khoo'n bahaa haikhoon e akbar se tarr karbala haiNaiza e zulm ki loriyo seLaadla Mera soyaa huwa haiKoi isko jagaade na aakarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo2) Haath me khoo'n ki mehndi lagaaloBass tasawwur me doolha banaaloTumne maanii hai jo zindagi bharMannate aaj saari badhaaloGurbato ka ye sehra sajaakarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo3) Meri behno ko kab ye pataa HaiWo samajhtii Hai ye sorahaa HaiSard Hai jism saakit Hai nabzeinMera kadiyal jawaa marchukaa HaiHaath seene se iskaa hataakarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo4) Ghum ki kaalii ghataa chaa rahii HaiMujhko ye baat tadpaa rahii HaiPardaa saidaaniyo ka luteygaShaam e gurbat qareeb aarahii HaiPhir mayassar kahaa hogi chaadarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo5) Khaak me milgaya hai wo baanoJisko mitti bhi lagne na dii hoKitne naazo se paala tha usnezakhm jaldii se bibi chupaadoBinte zehra na dekhe ye manzarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo6) Haaye meri sakina ki gurbatKaise dekhegi bhai ki mayyatDo janaaze na uth'tenge mujhseWo to zindaan kii hai amaanatMarna jaaye kahii Meri dukhtarrzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo7) Usko ye kehke dena dilaasaTuu ne dekha na bhai ka laashaTeri jaanib se maadar ne leykinBekafan ko kafan dediyaa ThaNaam beemaar sughra ka leykarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo8) Aye hilaal ek mehshar bapaa thaKhaima e shaah maatam kadaa thaAshq aankho se paiham rawaa theAal e Ahmad me shor e bukaa thaJab ye kehte the sibt e payambarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldoKeh rahe the ye roro ke sarwarzakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.