Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Zamee se aasma talak sada e ya hussain hai

Ali Safdar · 2018

Jaha'n jaha'n hussain haiwaha'n waha'n hai karbalajaha'n jaha'n hai karbalawaha'n waha'n hussain haizamana aaj dekhlekaha'n kaha'n husssain haihussain ya hussain..(4)Zamee'n se aasma'n talaksadaye ya hussain hai1. Jaha bhi hoga zikr e haq inhi ka naam aayegauthegi bus yehi sada yehi payaam aayegashahadato mein jab koi kada maqaam aayegabatao razm e ghair o sharr mein (kaun kaam aayega)..(2)har ek razm e ghair o sharr ke darmiyaa'n hussain hai2. Kahi pe unki goonj hai kahi'n pe unka naam hailikha hua furaat ki jabee'n pe unka naam haijaha'n jaha'n juloos hai wahi'n pe unka naam haialam bhi keh raha hai ye (zamee'n pe unka naam hai)..(2)alam ki in bulandiyo se jawedaa'n hussain hai3. Payam e kirdigaar ko amar karegi karbalatamam ehle dard par asar karegi karbalahar ek dil ki dhadkano mein ghar karegi karbalahar ek daur mein yuhi (safar karegi karbala)..(2)kabhi na hogi khatm jo wo daasta'n hussain hai4. Bazahir ab nahi rahe zamee'n pe inke jism o jaa'nufak ufak pe dekhiye kaha'n nahi hai wo yaha'ntamaam ehle haq pe hai inhi ki sar parastiya'nkhade hai maqtalo mein jo (unhi pe hai ye meherbaa'n)..(2)inhi azeem manzaro ke paasbaa'n hussain hai5. Hussain ka qayam hai ana minal hussain sehussain ko dawaam hai ana minal husssain senabi ka zikr e aam hai ana minal hussain seye aakhri payaam hai (ana minal hussain se)..(2)isi payaam e akhri ke tarjumaa'n hussain hai6. Lahu gale se beh gaya magar kalaam reh gayajaha'n mein isteghasa e labe imam reh gayasina pe bhi azaan ka jo ehteraam reh gayaazaa'n jo reh gayi to phir (khuda ka naam reh gaya)..(2)jo goonjti hai aaj tak wohi azaa'n hussain hai7. Shaheed ran mein hogaye sabhi azeez o aqrabapayam e marg ban gayi tamam arz e nainawalahu pehen ke sogaya hussain ka to qafelahussain ka safar magar (na karbala mein ruk saka)..(2)wo dekh baad e karbala sar e sina hussain hai8. Jo teen din ki pyaas mein tadap gay shahadateinlahu se surkh hogayi jo chand jaisi surateinsune to kis tarha sune batao ye riwayaateinbayaan kis tarha se ho (hussain ki museebatein)..(2)sarapa dard o karb ki bas ek fugha'n husssain hai9. Hilal zulm o jaur se fiza ye kya bhari nahibohot kadi hai manzile ye waqt sar sari nahisipahe shimr o saad ki kaha'n sitamgari nahiyazid to guzar gaya (yazidiyat mari nahi)..(2)yazidiyat ke waaste qaza e jaa'n hussain haizamana aaj dekhlekaha'n kaha'n husssain haihussain ya hussain..(2)Zamee'n se aasma'n talaksadaye ya hussain haihussain ya hussain..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.