Maula maula, maula maula, maula maula..(2)maula maula mere,maula maula mere,maula maula mere maulamaula maula mere maulaMaula maula maula mere maulaMai kar raha tha zikr e alamdaar baar baarMai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar..(2)Meesum ne khud pinhaye..(2)mujhe haar baar baarMai kar raha tha zikr e alamdaar baar baar..(2)1. Ghar mein ali jo karte the parcham ki guftugu..(2)shaano ko dekhta tha..(2), alamdaar baar baar2. Kitne bulandiyo pe hai abbas ke alam..(2)kehte hai masjido ke ye meenar baar baar3. Labbaik jisne aalam e arwaah mein kaha..(2)aata hai karbala mein wo zawwar baar baar4. Mehdi ye aake ganje shahida'n mein kehte hai..(2)milte kaha hai aise wafadaar baar baar5. Makhsoos ye sharaf hai yadullah ke liye..(2)aati nahi hai...aati nahi hai arsh se talwaar baar baar6. Maine ali ke ishq ka sauda nahi kiya..(2)aaye the mere paas kharidaar baar baar7. Shaam o iraq mein ho dhamake hua kare..(2)jaenge phir bhi...jaenge phir bhi sheh ke azadaar baar baar8. Ye fakhr kam nahi hai takallum ke waaste..(2)meesum bhi sunte hai tere ash'aar baar baarMai kar raha tha zikr e alamdaar baar baarMaula maula, maula mere maula..(2)
Zikr e alamdaar baar baar
Mir Hasan Mir · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.