Shabbir ke lashe par aakar ,kehene lagi zehra ki dukhtar Ye tujh se wasiyat hai meri ,maajaye ali ke noore nazarJaati hoon Mai bhaiya sene me, maqasad ka tere qura'n le karWo Kam karege teri bahen, taa hashr rahe hai ek lab par ..Zinda rahe zinda rahe Maqsade sarwar zinda..Zinda rahe zinda rahe Maqsade sarwar zinda rahe 1)Kanto pe chalo qaidi bhi banoHar dard saho'n har zulm saho'n Bhooki bhi raho'n piyasi bhi raho'n Har gaam pe ek tareeq likhu'nBhoole na jise duniya wale Ta roze qayamat yaad rahe 2)Abbas ki khuwahar hoon bhaiya Kardungi alam Dee'n ka oncha Har lab pe rahe tera charcha Har dil pa tera Hoga qabza Batil ke Nisha'n mit jayengePhir haq ke alam lehrayenge 3) chin jaye Rida band jaye rasan Gar toote sitam ka charqe kohan Wo Kaam karegi teri bahen Hoga labe duniya par ye sukhanMazboot pahardo ke jaise Mohakam thy irade sarwar ke..4)darbar e sitam me jaungi Islam hai kya samjaungi Tere maqsad ko batlaungi Tere naam ki shamma jalaungiRuswa tere qatil ko karke Teri jeet ke gaardugi jhande...5)khutbo ki barq giradungi Aaho'n se aag laga dungi Tera taqt yazeed hila dungi Thokar se taaj udha dungiTakraugi Mai toofano se Hai jooshe ali Khoo'n me mere..6)mera nana nabi sultan zama'nMera baba ali shahe marda'nAur maa hai meri khatoon-e-Jina'n Hai nehje balagah meri zaba'nMai pesh karungi wo khutbeUrdjayenge hosh sitamgar ke...7)tere ghar me farsh bhichaungi Aur shamma aza ki jalaungi Mai bhai ki yaad manaungi Jeene ki Rah dikhaungi Mithjayenge nafrat ke paudeUlfat ke gulista'n mehkenge...8) dayeem ne padha jab noha tera Har samt se zahid shor utha Kis aaoj pe hai ye fikre Rasa Kis darja hasee'n hai labo lehjaDuniya me yaqee'n es nohay se Phale ge ujale matam ke Zinda rahe zinda rahe Maqsade sarwar zinda rahe
Zinda rahe Maqsade sarwar/Syed Dayeem Raza/ new Noha 2024 / muharram 1446h 2024
Syed Dayeem Raza · Poet: Zahid Raza Alipuri · 1446
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.