Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Zindabad Hussainiyat Zindabad

Syed Taleb Hussain · 2020

Zindabaad Husainiyat ZindabaadParchame Abbas Hum UthayengeShah Ka Gham Hum Sada ManayengeShamma Hussaini Sada Jalayenge (2)Farshe Aaza Hum Sada BichayengeZindabaad Husainiyat ZindabaadSabr Tera Woh Teri Himmat HussainAzm-o Hawsla Teri Quwat HussainYaad Hain Woh Teri Shahadat Hussain (2)Kaam Aayegi Teri Ulfat HussainZindabaad Husainiyat ZindabaadAl-Atash Ki Hum Ko Sada Yaad HaiAur Shaheedo Ki Ada Yaad Hai SarseJo Cheeni Woh Rida Yaad Hai(2)Ek Ghamzada Ki Dua Yaad HaiZindabaad Husainiyat ZindabaadGazi Alamdar Ki WafaayeAur Sitamgaro Ki JafaayeGhamzada Bahen Ki Woh Duaye (2)Zulm Ki Chalti Huwi HawaayeZindabaad Husainiyat ZindabaadKarbala Me Loot Gaya Zahra Ka GharPyaase Thay Atfaal Shahe Bahr-o-BarSajde Mei Kaata Laaeen Ne Shah Ka Sar(2)Aal-e Nabi ko Phiraya Dar BadarZindabaad Husainiyat ZindabaadRoye Ghame Shah Me AmbiyaaGiriya Kuna Hai Sabhi MalayekaaKarte Hai Jinnat Bhi Aah-o-Buka(2)Aaj Bhi Roti Hai Binte MustafaaZindabaad Husainiyat ZindabaadTalib-o-Zahid Ne Mil Ke Di SadaSheh Ke Dam Se Zinda Hay Din-e KhudaSunle Yazid-e-Waqt Dushman-e-Aza (2)Likhkar Zahir Nohay Ki Dega AzaanZindabaad Husainiyat Zindabaad

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.