Dooba lahu me laut ke, aaya jo ZuljanahSamjhi Sakina Baba ko, laaya he ZuljanahDekhi jo zeen khaali toh, karne lagi ye baynZuljanah, ZuljanahZuljanah, Zuljanah, Kuch Toh Bata Mujhko ZuljanahJo gaya he ghar se aa nahi saka… Haye Zuljana, Haye ZuljanahShaam hogaye he, din guzar gaya… Haye Zuljana, Haye ZuljanahKyun teri bage kateen zulm kya huwaKhoon se tar he jabeen zulm kya huwaKyun he zeen khali, Baba he kahaan… Haye Zuljana (2x)Pusht kyun he zakhmi, khoon he rawaan… Haye Zuljana (2x)Mere Baba ke wafadar kuch bataDe mujhe sabr aur karaar kuch bataTeer he badan par tere jaa ba jaa… Haye Zuljana (2x)Kyun nahi bata-ta, Kya sitam huwa… Haye Zuljana (2x)Teri khamoshi me he gham ki kya khabarKya me samjhun ke juda hogaye padarHaath jorh kar me keh rahi thi naa… Haye Zuljana (2x)Ji sakungi kayse Baap ke bina… Haye Zuljana (2x)Ab jo dunya me mere Baba na raheKon seene pe sulaye ga ab mujheUth gaya jo sar se saaya-e-padar… Haye Zuljana (2x)Soye gi Sakina kayse khaak par… Haye Zuljana (2x)Shimr le jayega ab baaliya meriHaye Saadat ki chadar bhi chiney-giQatl ho gaya kya Fatima ka laal… Haye Zuljana (2x)Ye dukhi Sakina ho ke pur malaal… Haye Zuljana (2x)Tujh se ro-ro ke kar rahi thi iltejaMere Baba ko suu-e-dasht na lejaHar taraf he laashey, har taraf lahoo… Haye Zuljana (2x)Dhundu me padar ko, kayse chaar-su… Haye Zuljana (2x)Ayse be-dard la'eeno ke darmiyaanTu bata laashe padar paaungi kahaanBayn be-khata ke sun ke ro diya… Haye Zuljana (2x)Sar jhuka ke apna ran ko chal diya… Haye Zuljana (2x)Kya kahein Mesum aur Mazhar AbidiKeh ke ye khaak par Sakina gir gayi
Zuljanah
Meesum Abbas · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.