Azadari MediaAzadari Media

Nohay

Aa Asghar(As) Aaja

Irfan Haider

Aa Asghar(As) Aaja

Play & keep listening — more nohay queue up automatically.

Andheray ghar mein Sughra (s.a) diye jalati haiJab dil ghabrata hai, jab yaad satati haiBeemar behn (s.a) tujko ro ro ke bulati haiAkbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasilaYaad mein teri ro ro kar mar jaayegi Sughra (s.a)Akbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasilaTu door hai mujh ko yeh gham haiBaba (a.s) ki tujhe qasam haiMain takti rahi tera raastaMadine se tu jab gaya KarbalaKarbala... Karbala... Haaye KarbalaMujh ko bhi le chal, poora kar de waadaAkbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasilaAb katt'tay nahi hain din aur raatMain kaise jiyun tere binYahan aa gayi mujhe maut agarMere bhai (a.s) aana meri qabr parQabr par... Qabr par... Haaye Qabr parNana (s.a.w) ki jaa kar karti hoon roz duaaAkbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasilaAawaaz mein teri jeetay jiMain phir se azaan sun loonTujhe dekhna hai mehrab meinTu ek baar aa ja mere khwab meinKhwab mein... Khwab mein... Haaye Khwab meinMain ne dekha hai zakhmi tera seenaAkbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasilaAkbar (a.s) yeh tamanna hai meriMain shaadi rachaaoon teriBehn bhai hum dobara milenBadhani hain bhaiya mujhe mannateinMannatein... Mannatein... Haaye MannateinMaanein hain main ne, dekhoon tera sehraAkbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasilaJab chaand Muharram ka dekhaDil mera tadap ke bolaKhuda se yeh hi duaa main ne kiBadhade mere bhai ki zindagiZindagi... Zindagi... Haaye ZindagiMeri bhi tujh ko lag jaaye mere bhaiyaAkbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasilaSughra (s.a) ne khat mein Zeeshanaur Irfan-e-Aza yeh likhaSar-e-Karbala yeh khat khol karHussain (a.s) aa gaye ek jawaan laash parLaash par... Laash par... Haaye Laash parAakar Shah (a.s) bole: Paighaam hai Sughra (s.a) ka, haayeAkbar (a.s) ghar aa ja, Sughra (s.a) ka wasila

About Aa Asghar(As) Aaja

Aa Asghar(As) Aaja is a nohay recited by Irfan Haider, from the album “Aashur Ki Raat Ghuzar Gae”. Stream the full audio for free on Azadari Media, read the complete lyrics above, and keep listening — related nohay queue up automatically.

Explore more nohay by Irfan Haider or browse the Nohay collection.

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More from Irfan Haider