Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Ghazi Ka Salam Aya

Shahid Baltistani
0:000:00
Ghaazi ka Salam aaya..(4)Fizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya haayFizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aayaZahra ki betiyo ka, tune qadam qadam parHai saath Jo nibhayaFizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya..(2)Zainab ki zindagi ki karti rahi duaeKhati rahi hai pathar sehti rahi jafaeBazar ho ya galiya, Darbaar ho ya zindaShikwa na lab pe aayaDarya pe Koi laasha pehlu badal raha thaPardes me Ali ka ghar baar jal rha thaZainab ke sath milke, sholo pe chalke tuneSajjad ko bachayaNauke sina se dekha shabbir ne ye manzarKarbobala se lekar taa shaam Har kadam parZalim ka taziyana, Apne kamar pe tuneZainab se pehle khayaZainab Gai jaha bhi tu sath me Gai haiSaye ki tarah Har pal tu dhoop me rahi haiQurbaniyo ko Teri sab maante hai bibiApna ho ya parayaBaba ko yaad karke roti thi jab sakinaHar baar usse kehti sabir bohot thi ZahraMakhdooma ke masaeb, Har shab suna ke tuneBachi ka dil badhayaChoda na unka daman jab tak rahi hai zindaIzzat hai Mustafa ki zainab ho ya sakinaTune samajhke Zahra, Har bibi ki lahad parShab bhar diya jalayaBimaare karbala jab thak kar Kahi pe baithaAakar qareeb tune dekar use dilasaKaate Kabhi nikale, Chhalo pe aasuo kaMarham Kabhi lagayaPardesiyo ki tarha tu ab bhi shaam me haiGhar jaati Kis tarah se zainab bhi shaam me haiLagta hai ye takallum, binte Ali ke sar parAbhi hai tera saayaFizza Teri Wafa ko ghaazi ka Salam aaya..(2)Haay fizza

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay