Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Haey Zindan Tera Watan

Farhan
0:000:00
Meri mazloom behna SakinaMeri masoom behna SakinaBole Sajjad laasha uthakarSakina..x2(Haye zindaan tera watan ban gayaKhoo'n bhara tera kurta kafan ban gaya)..(2)1. Kya karu qaidkhana hai yeh ghar nahiGhusl dene ko pani mayassar nahiAur dafnau kaise ke chadar nahiBekasi aur ghurbat me aye ghamzadaKhoo'n bhara tera kurta kafan ban gayaHaye zindaan….Khoo'n bhara….2. Jab tu royi  tamacho ki khayi sazaBaliyan chhin gayi aur daman jalaAur kaano ke khoo'n se hain kurta bharaHaye tujhko kafan bhi nahi mil sakaKhoo'n bhara tera kurta kafan ban gayaHaye zindaan….Khoo'n bhara…3. Tu andhero'n se darti rahi meri jaa'nBaakhte gham me roti rahi meri jaa'nGhar chalo maa se kehti rahi meri jaa'nTera armaan pura nahi ho sakaKhoo'n bhara tera kurta kafan ban gayaHaye zindaan…Khoo'n bhara…4. Aisi bichdi ke fir baap se na miliChhut ke baba se zindaa'n ki qaidi baniHaye yeh baat Sajjad ko kha gayiHaye teeron se unka kafan ban gayaKhoo'n bhara tera kurta kafan ban gayaHaye zindaan…Khoo'n bhara…5. Tujhko zindaa'n me baba ka sar jo milaTune baba ke muh par jo muh ko rakhaItna royi ke zindaa'n larazne lagaRote rote hi ayi hai tujhko qazaKhoo'n bhara tera kurta kafan ban gayaHaye zindaan….Khoo'n bhara…6. Kamsini me sitam tune kitne saheChar saala yateema main sadqe tereBaade Ashur soyi nahi chayn seChayn marke bhi tujhko nahi mil sakaKhoo'n bhara tera kurta kafan ban gayaHaye zindaan …Khoo'n bhara…7. Haye Farhan o Mazhar ajab waqt thaUs yateema ka jis dam janaza uthaBibiyon me bapa ek kohraam thaSabne qabre Sakina pe nauha kiyaKhoo'n bhara tera kurta kafan ban gayaSakina…x2

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay