Azadari MediaAzadari Media

Nohay

Karbala Karbobala

Mohammad Raza Gopalpuri

Karbala Karbobala

Play & keep listening — more nohay queue up automatically.

Hai mere dil ki sada, dil ki sada, dil ki sadaakarbala, karbobala, karbobala, karbobalahai mere dil ki sada, karbala karbobalaAz khuda karbobala, ta khuda karbobala, ba khuda karbobalakarbala, karbobala1. Ye zamee'n wo hai jahan peer o wali aate hairozo shab arsh se anwar e jali aate haikhuld se chalke ziyarat ko nabi aate hairone farzand ko zehra o ali aate haisuno aati hai sada, laal par apne buka, kar rahi hai fatemakarbala, karbobalahai mere dil ki sada, karbala karbobalaAz khuda karbobala, ta khuda karbobala, ba khuda karbobalakarbala, karbobala2. Chote chote the bohot aun o mohammad lekinnikle jaa'n dene ko shabbir pe dono kamsinzakhmi ho ho ke gire jis ghadi dee'n ke mohsinwaqt tha zainab e muztar ke liye kitna kathinhaye wo aaho buka, lab pe tha shukr e khuda, koi shikwa na gilakarbala, karbobala3. Tashna lab the yahan atfal o batool o haideryani aulad e shehenshah e bahisht o kausarkahin baqir to kahin pyasi sakina muztarkha gaya teer e sitam tashna labi me asgharalqama behti rahi, saare ghum sehti rahi, aur yehi kehti rahikarbala, karbobala4. Ye zamee'n wo hai jahan khai hai akbar ne sinajiske jeene ki dua karti rahi khaime me maaghum me jiske gai beenai e sardar e jinathokre kha kha ke kehte the ke akbar ho kahanjawa saal pisar, aur ek budha pidar, laash uthe to kyukarkarbala, karbobala5. Lasha e qasim e gulru yahan pamaal huaabhi pura bhi nahi ter wa(13) saal huajism tukde hua aur zakhmi khad o khaal huakhoon itna baha maidan e wigha laal huabole sheh noor e nazar, muntazir hai madar, kya kahu mai jakarkarbala, karbobala6. Sogaya haay alamdaar labe nehre furaatmargaya dil mein liye apne wigha ke jazbaatkardiye mashke sakina pe fida apne haathfatema kyu na kare sher ka matam din raatjo thi masoomo ki aas, ab na bujh payegi pyaas, margaya sher abbaskarbala, karbobala7. Teer e seh shoba jo arbaab e sitam ne maaracheda asghar ka gala bazu e sheh bhi todamunqalib hogaya aghosh e pidar mein bachamaa ki godi hui veeran to khali jhulaqabr mein bhi mehlaqa, chayn se reh na saka, kaata uska bhi galakarbala, karbobala8. Kya sunau tumhe ashoor ke din ki roodadsinae sibte payambar pe jo baitha jalladfatema karti rahi baali pe aaho faryadchal gaya gardan e mazloom pe khanjar naushadandhiya chalne lagi, bibiya rone lagi, chadar e chinne lagikarbala, karbobalaHai mere dil ki sada, dil ki sada, dil ki sadaakarbala, karbobala, karbobala, karbobalahai mere dil ki sada, karbala karbobala..(2)

About Karbala Karbobala

Karbala Karbobala is a nohay recited by Mohammad Raza Gopalpuri, from the album “Laitakum Shiati”. Stream the full audio for free on Azadari Media, read the complete lyrics above, and keep listening — related nohay queue up automatically.

Explore more nohay by Mohammad Raza Gopalpuri or browse the Nohay collection.

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More from Mohammad Raza Gopalpuri