Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nohay

Nau Laakh Ka Raila

Farhan
0:000:00
Kitna ghareeb hogaya hussain...Asghar ko dafn kar chuka jab fatema ka laaltanhai apni dekh kar kehta tha pur malaalamma.....nau laakh ka raila amma mai akelakitna ghareeb hogaya hussain1. beenayi ja chuki hai jigar paash paash haiis haal may bhi laashe pisar ki talaash hai..(2)akbar ka hai laasha.. amma mai akelakitna ghareeb...2. Amma ye aafate ye masaib ye tashnagighurbat may saath chor gaye hai mera sabhi..(2)zakhmo ki ye dunya.. amma mai akelakitna ghareeb...3. Na fauj reh gayi na alamdar reh gayabas reh gaya to tera dilafgaar reh gaya..(2)hai zulm ka sehra.. amma mai akelakitna ghareeb...4. Waade sabhi nibha ke hua aise surkh roobalo'n may khaak chehre pe baysheer ka lahoo..(2)haatho'n pe janaza.. amma mai akelakitna ghareeb...5. Daulat rabab ki sare maqtal chupayi haiapne zaeef haatho se turbat banayi hai..(2)karta raha noha.. amma mai akelakitna ghareeb...6. Bachpan may kitne naaz uthaye hai yaad haiek pal bhi khud se door na karti thi tu mujhe..(2)ye waqt hai kaisa.. amma mai akelakitna ghareeb...7. Awaaz e isteghasa sunay kaun ab yahanabbas hai na qasim o akbar na bezabaa'n..(2)ab kaun hai mera.. amma mai akelakitna ghareeb...8. Jis phool se badan pe kabhi dhoop na padhiteero'n ne chaan daala hai amma badan wohi..(2)marham na dilasa.. amma mai akelakitna ghareeb...9. Ek daur tha ke ghar se agar mai kahin gayasaaye ki tarha saath may rehte the aqraba..(2)ek ye hai zamana.. amma mai akelakitna ghareeb...10. Ye barchiyo ki naizo ki dunya hai aur maitanhai fauje shaam ka nargha hai aur mai..(2)de mujhko dilaasa.. amma mai akelakitna ghareeb...11. Zakhmo se choor choor badan qalb aur jigarfaryaad hai labo'n pe qaba hai lahoo may tar..(2)chalni hai kaleja.. amma mai akelakitna ghareeb...12. 'Farhan' us ghareeb ki lachaar ki bukaha 'mazhar abidi' ka qalam likh nahi saka..(2)hai bas ye khulasa.. amma mai akelakitna ghareeb...

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More Nohay