Azadari MediaAzadari Media
ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha

Nohay

ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha

Abbas Ali Aarfi

ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha

Play & keep listening — more nohay queue up automatically.

▶ Watch on YouTube
Sunsaan ban wo raat wo uthta huwa dhuwanNikli padar ko dhoondne nanhi si ek JanKahti thi baba Jaan batado ke ho kahanEk laash bol uthi meri beti main hun yahanLekar isi sada ka sahara paoch gaiRote huwe nasheb me dukhya pahoch gaiBesar jab apne baap ko dekha nasheb meRoi bahot yateem sakeena nasheb me1Maqtal me lash bap ki jab sar kati mili Thi umr char saal ki bachi tarap gayi Beti jab apne baap ko pehchan na saki Awaz ya abaa ki yateema ne roke di Lasha ghareeb baap ka bola nasheb me 2Likha hai rawiyo ne wo manzar bada ajeebJangal wo kali raat wo ghurbat wo gham naseeb Awaz sunke baap ki pohchi hai jab qareeb Halat padar ki dekh ke royi bohat ghareeb Beti ke sath baap bhi roya nasheb me 3Age badhi hussain ki mazloom ghamzada Teero se jism bap ka dekha bhara hua Ghabra ke teer jism se karne lagi juda Kamsin thi koi teer na us se nikal saka Paya na jab hussain ka seena nasheb me 4Khali na pai jism pe teeron se koi jaaKarne lagi tawaf wo baba ki laash kaMayoos ho ke paiti paithi wo gam zadaRukhsar apna baap ke talwon pe rakh diyaLekar padar ke paaun ka bosa nasheb me5Apne padar ki laash pe Le le ke siskiyan Wo apna dard baab se karne laghi bayanRukh par bani thi saaf Jo zalim ki ungliyanBachi ne jab dikhaye tamachon ke wo NishanZakhmi badan husain ka tadpa nasheb mephir ye kehne lagi ro ro ke yateema babaMere baalon ko sitamgar ne jo pakda babaMara zalim ne mujhe aisa tamachababaChha Gaya meri nigahon me andhera baba6Kahti thi Mai yateemi hun mujhpar na waar kar Ki minnaten bahot ki Zara intezaar karMai de Rahi thi shimr ko bunde utaar karChhine hain be rahem ne magar mujhko maar karYe dard jab padar ko sunaya nasheb me7Waiz likhe ga kaun yateema ki bekasiLashe shahe Zaman se wo jis dam juda huwiLagta tha ab jiye gi na Bachi husain kiJane lagi nasheb se jab shah ki ladliBaba ko apne chor ke tanha nasheb me

About ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha

ROI BOHAT YATEEM SAKINA NASHEB ME | Abbas Ali Arfi Noha 2024 | Sham e Ghareeba | 10 Muharram Noha is a nohay recited by Abbas Ali Aarfi, from the album “2024” (2024). Stream the full audio for free on Azadari Media, read the complete lyrics above, and keep listening — related nohay queue up automatically.

Explore more nohay by Abbas Ali Aarfi or browse the Nohay collection.

Listen offline & build playlists

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.

More from Abbas Ali Aarfi